Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Anwar Dehlvi

1847 - 1885 | Delhi, India

Prominent later classical poet and disciple of Zauq & Ghalib who had written many oft quoted shers.

Prominent later classical poet and disciple of Zauq & Ghalib who had written many oft quoted shers.

Sher of Anwar Dehlvi

3K
Favorite

SORT BY

na maiñ samjhā na aap aa.e kahīñ se

pasīna pochhiye apnī jabīñ se

na main samjha na aap aae kahin se

pasina pochhiye apni jabin se

kuchh ḳhabar hotī to maiñ apnī ḳhabar kyuuñ rakhtā

ye bhī ik be-ḳhabarī thī ki ḳhabar-dār rahā

kuchh KHabar hoti to main apni KHabar kyun rakhta

ye bhi ek be-KHabari thi ki KHabar-dar raha

sharm bhī ik tarah chorī hai

vo badan ko churā.e baiThe haiñ

sharm bhi ek tarah ki chori hai

wo badan ko churae baiThe hain

miTTī ḳharāb hai tire kūche meñ varna ham

ab tak to jis zamīñ pe rahe āsmāñ rahe

miTTi KHarab hai tere kuche mein warna hum

ab tak to jis zamin pe rahe aasman rahe

sūrat chhupā.iye kisī sūrat-parast se

ham dil meñ naqsh aap tasvīr kar chuke

surat chhupaiye kisi surat-parast se

hum dil mein naqsh aap ki taswir kar chuke

niiñd kaam garche aanā hai

merī āñkhoñ meñ par nahīñ aatī

nind ka kaam garche aana hai

meri aankhon mein par nahin aati

un se ham lau lagā.e baiThe haiñ

aag dil meñ dabā.e baiThe haiñ

un se hum lau lagae baiThe hain

aag dil mein dabae baiThe hain

kis soch meñ haiñ aa.ine ko aap dekh kar

merī taraf to dekhiye sarkār kyā huā

kis soch mein hain aaine ko aap dekh kar

meri taraf to dekhiye sarkar kya hua

vo jo gardan jhukā.e baiThe haiñ

hashr kyā kyā uThā.e baiThe haiñ

wo jo gardan jhukae baiThe hain

hashr kya kya uThae baiThe hain

bhī shaiḳh ki saaqī ināyat hai sharāb

maiñ tire badle qayāmat meñ gunahgār rahā

pi bhi ja shaiKH ki saqi ki inayat hai sharab

main tere badle qayamat mein gunahgar raha

be-tarah paḌtī hai nazar un

ḳhair dil nazar nahīñ aatī

be-tarah paDti hai nazar un ki

KHair dil ki nazar nahin aati

hashr ko māntā huuñ be-dekhe

haa.e hañgāma us mahfil

hashr ko manta hun be-dekhe

hae hangama us ki mahfil ka

mirī numūd se paidā hai rañg-e-nākāmī

pisā huā huuñ kisī ke hinā lagāne

meri numud se paida hai rang-e-nakaami

pisa hua hun kisi ke hina lagane ka

goyā ki sab ġhalat haiñ mirī bad-gumāniyāñ

dekhe to koī shakl tumhārī hayā ke saath

goya ki sab ghalat hain meri bad-gumaniyan

dekhe to koi shakl tumhaari haya ke sath

maiñ giraftār-e-vafā huuñ chhuT ke jā.ūñgā kahāñ

baal bāñdhā chor huuñ har tār-e-zulf-e-yār

main giraftar-e-wafa hun chhuT ke jaunga kahan

baal bandha chor hun har tar-e-zulf-e-yar ka

har shai ko intihā hai yaqīñ hai ki vasl ho

arsa bahut khiñchā hai mirī intizār

har shai ko intiha hai yaqin hai ki wasl ho

arsa bahut khincha hai meri intizar ka

kaisī hayā kahāñ vafā pās-e-ḳhalq kyā

haañ ye sahī ki aap ko aanā yahāñ na thā

kaisi haya kahan ki wafa pas-e-KHalq kya

han ye sahi ki aap ko aana yahan na tha

nākāmī-e-visāl paiġhām hai mujhe

shīrīñ zikr bhī na karo kohkan ke saath

nakaami-e-visal ka paigham hai mujhe

shirin ka zikr bhi na karo kohkan ke sath

allāh-re fart-e-shauq-e-asīrī shauq meñ

pahroñ uThā uThā ke salāsil ko dekhnā

allah-re fart-e-shauq-e-asiri ki shauq mein

pahron uTha uTha ke salasil ko dekhna

qāmat likhā ham ne sadā jā-e-qayāmat

qāmat ne bhulāyā tire imlā-e-qayāmat

qamat hi likha hum ne sada ja-e-qayamat

qamat ne bhulaya tere imla-e-qayamat

kamar bāñdhī hai tauba toḌne par

ilāhī ḳhair azm-e-nātavāñ

kamar bandhi hai tauba toDne par

ilahi KHair azm-e-natawan ki

thak ke baiThe ho dar-e-sauma.a par kyā 'anvar'

do-qadam aur ki ye ḳhāna-e-ḳhummar rahā

thak ke baiThe ho dar-e-sauma par kya 'anwar'

do-qadam aur ki ye KHana-e-KHummar raha

pheñkiye kyuuñ mai-e-nāqis saaqī

shaiḳh-sāhib ziyāfat sahī

phenkiye kyun mai-e-naqis saqi

shaiKH-sahib ki ziyafat hi sahi

'anvar' ne badle jaan ke jins-e-dard-e-dil

aur is pe naaz ye ki ye saudā girāñ na thā

'anwar' ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil

aur is pe naz ye ki ye sauda giran na tha

nazar aa.e kyā mujh se faanī sūrat

ki pinhāñ huuñ dard-e-nihānī sūrat

nazar aae kya mujh se fani ki surat

ki pinhan hun dard-e-nihani ki surat

garche kyā kuchh the magar aap ko kuchh bhī na ginā

ishq barham-zan-e-kāshāna-e-pindār rahā

garche kya kuchh the magar aap ko kuchh bhi na gina

ishq barham-zan-e-kashana-e-pindar raha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now