Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fani Badayuni's Photo'

Fani Badayuni

1879 - 1941 | Badayun, India

One of the most prominent post-classical poets famous for his pessimistic view of life.

One of the most prominent post-classical poets famous for his pessimistic view of life.

Sher of Fani Badayuni

29.5K
Favorite

SORT BY

maiñ ne 'fānī' Dūbtī dekhī hai nabz-e-kā.enāt

jab mizāj-e-yār kuchh barham nazar aayā mujhe

main ne 'fani' Dubti dekhi hai nabz-e-kaenat

jab mizaj-e-yar kuchh barham nazar aaya mujhe

kahte the kuchh kahte jab us ne kahā kahiye

to chup haiñ ki kyā kahiye khultī hai zabāñ koī

ya kahte the kuchh kahte jab us ne kaha kahiye

to chup hain ki kya kahiye khulti hai zaban koi

tinkoñ se khelte rahe āshiyāñ meñ ham

aayā bhī aur gayā bhī zamāna bahār

tinkon se khelte hi rahe aashiyan mein hum

aaya bhi aur gaya bhi zamana bahaar ka

jis dil-rubā se ham ne āñkheñ laḌā.iyāñ haiñ

āḳhir usī ne ham ko āñkheñ dikhāiyāñ haiñ

jis dil-ruba se hum ne aankhen laDaiyan hain

aaKHir usi ne hum ko aankhen dikhaiyan hain

har musībat diyā ek tabassum se javāb

is tarah gardish-e-daurāñ ko rulāyā maiñ ne

har musibat ka diya ek tabassum se jawab

is tarah gardish-e-dauran ko rulaya main ne

nā-mehrbāniyoñ gilā tum se kyā kareñ

ham bhī kuchh apne haal pe ab mehrbāñ nahīñ

na-mehrbaniyon ka gila tum se kya karen

hum bhi kuchh apne haal pe ab mehrban nahin

maujoñ siyāsat se māyūs na ho 'fānī'

girdāb har tah meñ sāhil nazar aatā hai

maujon ki siyasat se mayus na ho 'fani'

girdab ki har tah mein sahil nazar aata hai

bīmār tire se guzar jaa.eñ to achchhā

jiite haiñ na marte haiñ ye mar jaa.eñ to achchhā

bimar tere ji se guzar jaen to achchha

jite hain na marte hain ye mar jaen to achchha

javānī ko bachā sakte to haiñ har daaġh se vaa.iz

magar aisī javānī ko javānī kaun kahtā hai

jawani ko bacha sakte to hain har dagh se waiz

magar aisi jawani ko jawani kaun kahta hai

ruuh arbāb-e-mohabbat laraz jaatī hai

pashemān na ho apnī jafā yaad na kar

ruh arbab-e-mohabbat ki laraz jati hai

tu pasheman na ho apni jafa yaad na kar

kisī ko kyā mire suud o ziyāñ se

gire kyuuñ barq bach kar āshiyāñ se

kisi ko kya mere sud o ziyan se

gire kyun barq bach kar aashiyan se

sūr-o-mansūr-o-tūr are tauba

ek hai terī baat andāz

sur-o-mansur-o-tur are tauba

ek hai teri baat ka andaz

apnī nigāhoñ ye nazzāra kahāñ tak

is marhala-e-sa.ī-e-tamāshā se guzar

apni hi nigahon ka ye nazzara kahan tak

is marhala-e-sai-e-tamasha se guzar ja

kis ko ġham hai jo kare marsiya-ḳhvānī merī

ro rahī hai mire marqad pe javānī merī

kis ko gham hai jo kare marsiya-KHwani meri

ro rahi hai mere marqad pe jawani meri

rone ke bhī ādāb huā karte haiñ 'fānī'

ye us galī hai terā ġham-ḳhāna nahīñ hai

rone ke bhi aadab hua karte hain 'fani'

ye us ki gali hai tera gham-KHana nahin hai

vo nazar kāmyāb ho ke rahī

dil bastī ḳharāb ho ke rahī

wo nazar kaamyab ho ke rahi

dil ki basti KHarab ho ke rahi

yārab navā-e-dil se ye kaan āshnā se haiñ

āvāz aa hai ye kab sunī huī

yarab nawa-e-dil se ye kan aashna se hain

aawaz aa hi hai ye kab ki suni hui

tire muhtāj haiñ ai ḳhūn-e-dil

inhīñ āñkhoñ se dariyā bhar ga.e

ya tere muhtaj hain ai KHun-e-dil

ya inhin aankhon se dariya bhar gae

vahm-o-qayās ke sivā hāsil-e-hosh kuchh nahīñ

fahm ibtidā hai vahm aql had qayās hai

wahm-o-qayas ke siwa hasil-e-hosh kuchh nahin

fahm ki ibtida hai wahm aql ki had qayas hai

nahīñ zarūr ki mar jaa.eñ jāñ-nisār tere

yahī hai maut ki jiinā harām ho jaa.e

nahin zarur ki mar jaen jaan-nisar tere

yahi hai maut ki jina haram ho jae

sune jaate na the tum se mire din raat ke shikve

kafan sarkāo merī be-zabānī dekhte jaao

sune jate na the tum se mere din raat ke shikwe

kafan sarkao meri be-zabani dekhte jao

zikr jab chhiḌ gayā qayāmat

baat pahuñchī tirī javānī tak

zikr jab chhiD gaya qayamat ka

baat pahunchi teri jawani tak

hijr meñ muskurā.e dil meñ use talāsh kar

nāz-e-sitam uThā.e rāz-e-sitam na faash kar

hijr mein muskurae ja dil mein use talash kar

naz-e-sitam uThae ja raaz-e-sitam na fash kar

yā-rab tirī rahmat se māyūs nahīñ 'fānī'

lekin tirī rahmat tāḳhīr ko kyā kahiye

ya-rab teri rahmat se mayus nahin 'fani'

lekin teri rahmat ki taKHir ko kya kahiye

muskurā.e vo hāl-e-dil sun kar

aur goyā javāb thā nahīñ

muskurae wo haal-e-dil sun kar

aur goya jawab tha hi nahin

jaur ko jaur bhī ab kyā kahiye

ḳhud vo taḌpā ke taḌap jaate haiñ

jaur ko jaur bhi ab kya kahiye

KHud wo taDpa ke taDap jate hain

dil sarāpā dard thā vo ibtidā-e-ishq thī

intihā ye hai ki 'fānī' dard ab dil ho gayā

dil sarapa dard tha wo ibtida-e-ishq thi

intiha ye hai ki 'fani' dard ab dil ho gaya

bahlā na dil na tīrgī-e-shām-e-ġham ga.ī

ye jāntā to aag lagātā na ghar ko maiñ

bahla na dil na tirgi-e-sham-e-gham gai

ye jaanta to aag lagata na ghar ko main

is dard ilaaj ajal ke sivā bhī hai

kyuuñ chārasāz tujh ko ummīd-e-shifā bhī hai

is dard ka ilaj ajal ke siwa bhi hai

kyun chaarasaz tujh ko ummid-e-shifa bhi hai

maiñ so gayā to zamāne khul ga.iiñ āñkheñ

maiñ jāgtā thā to soyā huā zamāna thā

main so gaya to zamane ki khul gain aankhen

main jagta tha to soya hua zamana tha

merī havas ko aish-e-do-ālam bhī thā qubūl

terā karam ki ne diyā dil dukhā huā

meri hawas ko aish-e-do-alam bhi tha qubul

tera karam ki tu ne diya dil dukha hua

chaman se ruḳhsat-e-‘fānī’ qarīb hai shāyad

ki ab ke bū-e-kafan dāman-e-bahār meñ hai

chaman se ruKHsat-e-‘fani’ qarib hai shayad

ki ab ke bu-e-kafan daman-e-bahaar mein hai

koī chuTkī kaleje meñ liye jaatā hai

ham tirī yaad se ġhāfil nahīñ hone paate

koi chuTki si kaleje mein liye jata hai

hum teri yaad se ghafil nahin hone pate

faanī davā-e-dard-e-jigar zahr to nahīñ

kyuuñ haath kāñptā hai mire chārasāz

fani dawa-e-dard-e-jigar zahr to nahin

kyun hath kanpta hai mere chaarasaz ka

ab na.e sur se chheḌ parda-e-sāz

maiñ thā ek dukh-bharī āvāz

ab nae sur se chheD parda-e-saz

main hi tha ek dukh-bhari aawaz

us ko bhūle to hue ho 'fānī'

kyā karoge vo agar yaad aayā

us ko bhule to hue ho 'fani'

kya karoge wo agar yaad aaya

kafan ai gard-e-lahad dekh na mailā ho jaa.e

aaj ham ne ye kapḌe haiñ nahā ke badle

kafan ai gard-e-lahad dekh na maila ho jae

aaj hi hum ne ye kapDe hain naha ke badle

yuuñ na qātil ko jab yaqīñ aayā

ham ne dil khol kar dikhā.ī choT

yun na qatil ko jab yaqin aaya

hum ne dil khol kar dikhai choT

aañkh uThā.ī thī ki khaa.ī choT

bach ga.ī aañkh dil pe aa.ī choT

aankh uThai hi thi ki khai choT

bach gai aankh dil pe aai choT

dard-e-dil unheñ ḳhabar kyā ho

jāntā kaun hai parā.ī choT

dard-e-dil ki unhen KHabar kya ho

jaanta kaun hai parai choT

mar ke TuuTā hai kahīñ silsila-e-qaid-e-hayāt

magar itnā hai ki zanjīr badal jaatī hai

mar ke TuTa hai kahin silsila-e-qaid-e-hayat

magar itna hai ki zanjir badal jati hai

roz hai dard-e-mohabbat nirālā andāz

roz dil meñ tirī tasvīr badal jaatī hai

roz hai dard-e-mohabbat ka nirala andaz

roz dil mein teri taswir badal jati hai

zindagī jabr hai aur jabr ke āsār nahīñ

haa.e is qaid ko zanjīr bhī darkār nahīñ

zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin

hae is qaid ko zanjir bhi darkar nahin

aa ga.ī hai tire bīmār ke muñh par raunaq

jaan kyā jism se niklī koī armāñ niklā

aa gai hai tere bimar ke munh par raunaq

jaan kya jism se nikli koi arman nikla

ik muamma hai samajhne na samjhāne

zindagī kaahe ko hai ḳhvāb hai dīvāne

ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka

zindagi kahe ko hai KHwab hai diwane ka

ka.abe ko dil ziyārat ke liye jaatā huuñ

āstāna hai haram mere sanam-ḳhāne

kabe ko dil ki ziyarat ke liye jata hun

aastana hai haram mere sanam-KHane ka

vahdat-e-husn ke jalvoñ ye kasrat ai ishq

dil ke har zarre meñ aalam hai parī-ḳhāne

wahdat-e-husn ke jalwon ki ye kasrat ai ishq

dil ke har zarre mein aalam hai pari-KHane ka

har nafas umr-e-guzishta hai mayyat 'fānī'

zindagī naam hai mar mar ke jiye jaane

har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'

zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka

phir kisī yaad ne taḌpā diyā

phir kaleja thaam kar ham rah ga.e

phir kisi ki yaad ne taDpa diya

phir kaleja tham kar hum rah gae

dil ujaḌnā sahl sahī basnā sahl nahīñ zālim

bastī basnā khel nahīñ baste baste bastī hai

dil ka ujaDna sahl sahi basna sahl nahin zalim

basti basna khel nahin baste baste basti hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now