Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Imdad Ali Bahr

1810 - 1878 | Lucknow, India

Sher of Imdad Ali Bahr

4.3K
Favorite

SORT BY

zāhido da.avat-e-rindāñ hai sharāb aur kabāb

kabhī maiḳhāne meñ bhī roza-kushā.ī ho jaa.e

zahido dawat-e-rindan hai sharab aur kabab

kabhi maiKHane mein bhi roza-kushai ho jae

naama kyā yaar ko pahuñchāyā ki me.arāj huī

arsh par baiTh ke gūñjegā kabūtar apnā

nama kya yar ko pahunchaya ki mearaj hui

arsh par baiTh ke gunjega kabutar apna

kāfir-e-ishq huuñ maiñ sab se mohabbat hai mujhe

ek but kyā ki samāyā hai kalīsā dil meñ

kafir-e-ishq hun main sab se mohabbat hai mujhe

ek but kya ki samaya hai kalisa dil mein

amiir shaal do-shāloñ meñ garm-e-rāhat-o-aish

ġharīb ke liye jāḌoñ meñ zindagānī dhuup

amir shaal do-shaalon mein garm-e-rahat-o-aish

gharib ke liye jaDon mein zindagani dhup

roz-e-azal se saath hai islām-o-kufr

kab dāna-hā-e-sub.ha se zunnār rah gayā

roz-e-azal se sath hai islam-o-kufr ka

kab dana-ha-e-subha se zunnar rah gaya

vo tel Daal ke aayā hai aaj bāloñ meñ

jalegā rauġhan-e-af.ī se anjuman meñ charāġh

wo tel Dal ke aaya hai aaj baalon mein

jalega raughan-e-afi se anjuman mein charagh

ratb-o-yābis meñ hai tasarruf-e-ishq

aañkh dariyā hai dil jazīra hai

ratb-o-yabis mein hai tasarruf-e-ishq

aankh dariya hai dil jazira hai

ḳhudā aliim hai har shaḳhs banāvaT

kaho namāziyo sajde kiye ki sar paTkā

KHuda alim hai har shaKHs ki banawaT ka

kaho namaziyo sajde kiye ki sar paTka

haDDiyāñ merī agar paa.eñ to kuuḌe tarah

pheñk deñ ahl-e-zamīñ charḳh-e-kuhan se bāhar

haDDiyan meri agar paen to kuDe ki tarah

phenk den ahl-e-zamin charKH-e-kuhan se bahar

ḳhizāñ meñ jo sair ko nikle

hare ho jaa.eñ be-bahār daraḳht

tu KHizan mein jo sair ko nikle

hare ho jaen be-bahaar daraKHt

mujh se bhī rāhgīr se bhī raah yaar ko

yaksāñ hai donoñ paañv tale ḳhair-o-shar raah

mujh se bhi rahgir se bhi rah yar ko

yaksan hai donon panw tale KHair-o-shar ki rah

rulātā hai mujhe har-dam tasavvur rū-e-jānāñ

bharā hai paanī āñkhoñ meñ yahāñ chāh-e-zanaḳhdāñ

rulata hai mujhe har-dam tasawwur ru-e-jaanan ka

bhara hai pani aankhon mein yahan chah-e-zanaKHdan ka

jaan sadqe ek bose par kareñge umr-bhar

dekh lo muñh se milā kar muñh hamārā jhuuT sach

jaan sadqe ek bose par karenge umr-bhar

dekh lo munh se mila kar munh hamara jhuT sach

yaar tak le na ga.e ashk bahā kar ham ko

is ko bhī dekh liyā dīda-e-tar kuchh bhī nahīñ

yar tak le na gae ashk baha kar hum ko

is ko bhi dekh liya dida-e-tar kuchh bhi nahin

ham na kahte the hañsī achchhī nahīñ

aa ga.ī āḳhir rukāvaT dekhiye

hum na kahte the hansi achchhi nahin

aa gai aaKHir rukawaT dekhiye

koī ma.ashūq garmā-garm aisā kis ne dekhā hai

kiyā hai maat pariyoñ ko bhī tum ne apnī chhalbal se

koi mashuq garma-garm aisa kis ne dekha hai

kiya hai mat pariyon ko bhi tum ne apni chhalbal se

ham bure hāloñ haiñ to kyā aap ko

aap bas apnī sajāvaT dekhiye

hum bure haalon hain to kya aap ko

aap bas apni sajawaT dekhiye

zindagī hai to dobāra bhī sañbhal jā.eñge ham

vo agar aaj bhī leñge na ḳhabar kyā hogā

zindagi hai to dobara bhi sanbhal jaenge hum

wo agar aaj bhi lenge na KHabar kya hoga

uḌ ga.ī Topī bhī sar ke jab chalī bād-e-vabāl

tāj-e-shah ko morchhal āñdhī jhoñkā ho gayā

uD gai Topi bhi sar ke jab chali baad-e-wabaal

taj-e-shah ko morchhal aandhi ka jhonka ho gaya

bāloñ meñ bal hai aañkh meñ surma hai muñh meñ paan

ghar se nikal ke paañv nikāle nikal chale

baalon mein bal hai aankh mein surma hai munh mein pan

ghar se nikal ke panw nikale nikal chale

kisī ne ka.aba banāyā kisī ne but-ḳhāna

banā na ek gharauñdā tumhāre ghar tarah

kisi ne kaba banaya kisi ne but-KHana

bana na ek gharaunda tumhaare ghar ki tarah

har tarah ham dil-e-nā-fahm ko samjhā leñge

daaġh maujūd haiñ phūloñ ko ḳhizāñ hone do

har tarah hum dil-e-na-fahm ko samjha lenge

dagh maujud hain phulon ko KHizan hone do

dīvāngī meñ pheñk rahe the jo ham libās

utrī qabā buḳhār badan se utar gayā

diwangi mein phenk rahe the jo hum libas

utri qaba buKHar badan se utar gaya

muddat se iltifāt mire haal par nahīñ

kuchh to kajī hai dil meñ ki sīdhī nazar nahīñ

muddat se iltifat mere haal par nahin

kuchh to kaji hai dil mein ki sidhi nazar nahin

kausar jaam us ko ilāhī nasīb ho

koī sharāb merī lahad par chhiḌak gayā

kausar ka jam us ko ilahi nasib ho

koi sharab meri lahad par chhiDak gaya

banāvaT vaz.a-dārī meñ ho be-sāḳhta-pan meñ

hameñ andāz vo bhātā hai jis meñ kuchh adā nikle

banawaT waza-dari mein ho ya be-saKHta-pan mein

hamein andaz wo bhata hai jis mein kuchh ada nikle

mujh ko rone to do dikhā dūñgā

bulbulā hai ye āsmān nahīñ

mujh ko rone to do dikha dunga

bulbula hai ye aasman nahin

na paayā amn musalmān se na kāfir se

kahīñ huā maiñ zabīha kahīñ huā jhaTkā

na paya amn musalman se na kafir se

kahin hua main zabiha kahin hua jhaTka

mere sar par mirī āñkhoñ pe salām-e-vā.iz

par mire kaan suneñge na kalām-e-vā.iz

mere sar par meri aankhon pe salam-e-waiz

par mere kan sunenge na kalam-e-waiz

talāsh-e-yār meñ gardish ko maiñ tauf-e-haram samjhūñ

karūñ chāroñ-taraf sajde ki vo har-sū nikalte haiñ

talash-e-yar mein gardish ko main tauf-e-haram samjhun

karun chaaron-taraf sajde ki wo har-su nikalte hain

ne.mat-e-duniyā jin ko chaah hai nādān haiñ

dāya-e-ayyām ke pistāñ habāb-e-shīr hai

nemat-e-duniya ki jin ko chah hai nadan hain

daya-e-ayyam ke pistan habab-e-shir hai

uñgliyāñ ne jo ai rashk-e-chaman chaTkā.īñ

mujh ko ġhunchoñ ke chaTakne sadā.eñ aa.iiñ

ungliyan tu ne jo ai rashk-e-chaman chaTkain

mujh ko ghunchon ke chaTakne ki sadaen aain

ke masjidoñ meñ bhare taaq bhī bahut

us but bārgah meñ na pahuñchā kisī tarah

ja ja ke masjidon mein bhare taq bhi bahut

us but ki bargah mein na pahuncha kisi tarah

ḳhvāhish-e-dīdār meñ āñkheñ bhī haiñ merī raqīb

saat pardoñ meñ chhupā rakkhā hai us ke nuur ko

KHwahish-e-didar mein aankhen bhi hain meri raqib

sat pardon mein chhupa rakkha hai us ke nur ko

zāhir-parast ḳhalq hai zāhir durust kar

kaise sifāt-o-zāt jo kuchh hai libās hai

zahir-parast KHalq hai zahir durust kar

kaise sifat-o-zat jo kuchh hai libas hai

hai nagīna har ek uzv-e-badan

tum ko kyā ehtiyāj zevar

hai nagina har ek uzw-e-badan

tum ko kya ehtiyaj zewar ki

vaa.iz jhuuT bolnā tāsīr kar gayā

dam meñ namāziyoñ huī anjuman ḳharāb

waiz ka jhuT bolna tasir kar gaya

dam mein namaziyon ki hui anjuman KHarab

bhalā huā ki na haath aayā jāma-e-pur-zar

gazī ke kapḌe badalte to ham badal jaate

bhala hua ki na hath aaya jama-e-pur-zar

gazi ke kapDe badalte to hum badal jate

na niklegā dil us ke gesū meñ phañs kar

ye kaalā kabhī man ugaltā nahīñ hai

na niklega dil us ke gesu mein phans kar

ye kala kabhi man ugalta nahin hai

ek bosa mirī tanḳhvāh mile na mile

aarzū hai ki na qadmoñ se ye naukar chhūTe

ek bosa meri tanKHwah mile na mile

aarzu hai ki na qadmon se ye naukar chhuTe

abr-e-bahār ab bhī jachtā nahīñ nazar meñ

kuchh āñsuoñ ke qatre ab bhī haiñ chashm-e-tar meñ

abr-e-bahaar ab bhi jachta nahin nazar mein

kuchh aansuon ke qatre ab bhi hain chashm-e-tar mein

hogā zarūr ek na ik din mubāhisa

rizvāñ se aur kū-e-sanam ke muqīm se

hoga zarur ek na ek din mubahisa

rizwan se aur ku-e-sanam ke muqim se

na mohabbat hai diloñ meñ na hayā āñkhoñ meñ

ye sanam ne banā.e haiñ ḳhudāyā kaise

na mohabbat hai dilon mein na haya aankhon mein

ye sanam tu ne banae hain KHudaya kaise

dekhiye tark-e-adab kyā milī ta.azīr kal

piiTh hai sū-e-haram muñh hai sū-e-but-ḳhāna aaj

dekhiye tark-e-adab ki kya mili tazir kal

piTh hai su-e-haram munh hai su-e-but-KHana aaj

koī haram ko gayā koī dair ko ai 'bahr'

hazār shukr na maiñ is dorāhe meñ bhaTkā

koi haram ko gaya koi dair ko ai 'bahr'

hazar shukr na main is dorahe mein bhaTka

kamāl-e-tālib-dūñ-e-dūñ hai pīr-e-haram

ḳhudā ke ghar meñ hai lekin ḳhudā se bāhar hai

kamal-e-talib-dun-e-dun hai pir-e-haram

KHuda ke ghar mein hai lekin KHuda se bahar hai

juutā nayā pahan ke vo panjoñ ke bal chale

kapḌe badal ke jaame se bāhar nikal chale

juta naya pahan ke wo panjon ke bal chale

kapDe badal ke jame se bahar nikal chale

chillā rahā huuñ qulqul-e-mīnā-e-mai shakl

de jaam ke laboñ se mujhe sāqiyā javāb

chilla raha hun qulqul-e-mina-e-mai ki shakl

de jam ke labon se mujhe saqiya jawab

merā lahū chaTā.egā jab tak na teġh ko

qātil ko dahne haath se khānā harām hai

mera lahu chaTaega jab tak na tegh ko

qatil ko dahne hath se khana haram hai

duniyā meñ 'bahr' kaun ibādat-guzār hai

saum-o-salāt dāḳhil-e-rasm-o-rivāj hai

duniya mein 'bahr' kaun ibaadat-guzar hai

saum-o-salat daKHil-e-rasm-o-riwaj hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now