Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Liaqat Jafri's Photo'

Liaqat Jafri

Jammu, India

Sher of Liaqat Jafri

1.8K
Favorite

SORT BY

ishq ne baḌā nuqsān kiyā hai merā

maiñ to us shaḳhs se nafrat bhī nahīñ kar saktā

ishq tu ne baDa nuqsan kiya hai mera

main to us shaKHs se nafrat bhi nahin kar sakta

mire qabīle meñ ta.alīm rivāj na thā

mire buzurg magar taḳhtiyāñ banāte the

mere qabile mein talim ka riwaj na tha

mere buzurg magar taKHtiyan banate the

jahāñ jo thā vahīñ rahnā thā us ko

magar ye log hijrat kar rahe haiñ

jahan jo tha wahin rahna tha us ko

magar ye log hijrat kar rahe hain

maiñ dauḌ dauḌ ke ḳhud ko pakaḌ ke laatā huuñ

tumhāre ishq ne bachchā banā diyā hai mujhe

main dauD dauD ke KHud ko pakaD ke lata hun

tumhaare ishq ne bachcha bana diya hai mujhe

merī jānib na baḌhnā ab mohabbat

maiñ ab pahle se mushkil rāstā huuñ

meri jaanib na baDhna ab mohabbat

main ab pahle se mushkil rasta hun

maiñ bahut jald lauT ā.ūñgā

tum mirā intizār mat karnā

main bahut jald lauT aaunga

tum mera intizar mat karna

maiñ kuchh din se achānak phir akelā paḌ gayā huuñ

na.e mausam meñ ik vahshat purānī kāTtī hai

main kuchh din se achanak phir akela paD gaya hun

nae mausam mein ek wahshat purani kaTti hai

vajūd apnā hai aur aap tai kareñge ham

kahāñ pe honā hai ham ko kahāñ nahīñ honā

wajud apna hai aur aap tai karenge hum

kahan pe hona hai hum ko kahan nahin hona

ham bhī bhar ke tujhe koste phirte lekin

ham tirā lahja-e-be-bāk kahāñ se laa.eñ

hum bhi ji bhar ke tujhe koste phirte lekin

hum tera lahja-e-be-bak kahan se laen

lafz ko ilhām ma.anī ko sharar samjhā thā maiñ

dar-haqīqat aib thā jis ko hunar samjhā thā maiñ

lafz ko ilham mani ko sharar samjha tha main

dar-haqiqat aib tha jis ko hunar samjha tha main

phir murattab kiye ga.e jazbāt

ishq ko ibtidā meñ rakkhā gayā

phir murattab kiye gae jazbaat

ishq ko ibtida mein rakkha gaya

hālāñki pahle saa.e se rahtī thī kashmakash

ab apne bojh se dabā rahā huuñ maiñ

haalanki pahle sae se rahti thi kashmakash

ab apne bojh se hi daba ja raha hun main

vo hañgāma guzar jaatā udhar se

magar raste meñ ḳhāmoshī paḌī hai

wo hangama guzar jata udhar se

magar raste mein KHamoshi paDi hai

maiñ āḳhirī thā jise sarfarāz honā thā

mire hunar meñ bhī kotāhiyāñ nikal aa.iiñ

main aaKHiri tha jise sarfaraaz hona tha

mere hunar mein bhi kotahiyan nikal aain

usī ke nuur se ye raushnī bachī huī thī

mire nasīb meñ jo tīrgī bachī huī thī

usi ke nur se ye raushni bachi hui thi

mere nasib mein jo tirgi bachi hui thi

safar uljhā diye haiñ us ne saare

mire pairoñ meñ jo tezī paḌī hai

safar uljha diye hain us ne sare

mere pairon mein jo tezi paDi hai

us aa.ine meñ thā sarsabz baaġh manzar

chhuā jo maiñ ne to do titliyāñ nikal aa.iiñ

us aaine mein tha sarsabz bagh ka manzar

chhua jo main ne to do titliyan nikal aain

ek aaseb ta.āqub meñ lagā rahtā hai

maiñ jo ruktā huuñ to phir us sadā chaltī hai

ek aaseb taaqub mein laga rahta hai

main jo rukta hun to phir us ki sada chalti hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now