aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Umar Ansari's Photo'

Umar Ansari

1912 - 2005 | Lucknow, India

Sher of Umar Ansari

7K
Favorite

SORT BY

musāfiroñ se mohabbat baat kar lekin

musāfiroñ mohabbat e'tibār na kar

musafiron se mohabbat ki baat kar lekin

musafiron ki mohabbat ka e'tibar na kar

bāhar bāhar sannāTā hai andar andar shor bahut

dil ghanī bastī meñ yaaro aan base haiñ chor bahut

bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut

dil ki ghani basti mein yaro aan base hain chor bahut

uThā ye shor vahīñ se sadāoñ kyūñ-kar

vo aadmī to sunā apne ghar meñ tanhā thā

uTha ye shor wahin se sadaon ka kyun-kar

wo aadmi to suna apne ghar mein tanha tha

chhup kar na rah sakegā vo ham se ki us ko ham

pahchān leñge us kisī ik adā se bhī

chhup kar na rah sakega wo hum se ki us ko hum

pahchan lenge us ki kisi ek ada se bhi

chale jo dhuup meñ manzil thī un

hameñ to khā gayā saaya shajar

chale jo dhup mein manzil thi un ki

hamein to kha gaya saya shajar ka

burā sahī maiñ pa nīyat burī nahīñ merī

mire gunāh bhī kār-e-savāb meñ likhnā

bura sahi main pa niyat buri nahin meri

mere gunah bhi kar-e-sawab mein likhna

us ik diye se hue kis qadar diye raushan

vo ik diyā jo kabhī bām-o-dar meñ tanhā thā

us ek diye se hue kis qadar diye raushan

wo ek diya jo kabhi baam-o-dar mein tanha tha

vo chup lagī hai ki hañstā hai aur na rotā hai

ye ho gayā hai ḳhudā jaane dil ko raat se kyā

wo chup lagi hai ki hansta hai aur na rota hai

ye ho gaya hai KHuda jaane dil ko raat se kya

jo tiir aayā gale mil ke dil se lauT gayā

vo apne fan meñ maiñ apne hunar meñ tanhā thā

jo tir aaya gale mil ke dil se lauT gaya

wo apne fan mein main apne hunar mein tanha tha

aksar huā hai ye ki ḳhud apnī talāsh meñ

aage nikal ga.e haiñ had-e-mā-sivā se bhī

aksar hua hai ye ki KHud apni talash mein

aage nikal gae hain had-e-ma-siwa se bhi

taarī hai har taraf jo ye aalam sukūt

tūfāñ pesh-ḳhema samajh ḳhāmushī nahīñ

tari hai har taraf jo ye aalam sukut ka

tufan ka pesh-KHema samajh KHamushi nahin

vahī diyā ki thiiñ aajiz havā.eñ jin se 'umar'

kisī ke phir na jalā.e jalā bujhā aisā

wahi diya ki thin aajiz hawaen jin se 'umar'

kisi ke phir na jalae jala bujha aisa

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now