Gopi Nath Amn
Image Shayari 1
jis me.n amal kaa josh nahii.n vo shabaab kyaa mastii to dil me.n chaahiye shaGl-e-sharaab kyaa kyaa dard-e-dil muharrik-e-KHidmat nahii.n rahaa jannat Thahar ga.ii hai binaa-e-savaab kyaa yuu.nhii nazar uThii thii zaraa dair kii taraf miltaa hai ab ye dekhe.n haram se KHitaab kyaa apno.n se KHauf hai ki kahii.n Gair hii na ho.n hai is se ba.Dh ke aur jahaa.n me.n azaab kyaa ummiid dosto.n se vafaa kii hai aaj tak ab tak nahii.n milii nazar-e-kaamyaab kyaa aaKHir kahaa.n se aa ga.ii.n ye kaj-adaa.iyaa.n aadam kii thii sarisht me.n miTTii KHaraab kyaa haal-e-zabuu.n ke aa.ine duniyaa me.n hai.n bahut dekhii nahii.n kabhii ko.ii chashm-e-saraab kyaa apnii bisaat jaan ke KHaamosh ho gayaa shaa.ir huu.n mai.n to duu.ngaa kisii ko javaab kyaa ha.ns ha.ns ke ham-nashiino.n ne charke lagaa.e 'amn' in mehrbaaniyo.n ke karam kaa hisaab kyaa