aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aisha Ayub's Photo'

Aisha Ayub

1983 | Lucknow, India

Aisha Ayub

Ghazal 28

Sher-o-Shayari 14

itnā masrūf kar liyā ḳhud ko

ġham bhī aa kar ḳhushī se lauT ga.e

itna masruf kar liya KHud ko

gham bhi aa kar KHushi se lauT gae

  • Share this

tumhārī ḳhush-nasībī hai ki tum samjhe nahīñ ab tak

akele-pan meñ aur tanhā.ī meñ jo farq hotā hai

tumhaari KHush-nasibi hai ki tum samjhe nahin ab tak

akele-pan mein aur tanhai mein jo farq hota hai

  • Share this

kuchh umr apnī zaat dukh jhelte rahe

kuchh umr kā.enāt dukh jhelnā paḌā

kuchh umr apni zat ka dukh jhelte rahe

kuchh umr kaenat ka dukh jhelna paDa

  • Share this

par sameTe ḳhud baiThā hai parinda ik taraf

jo qafas meñ nahīñ us ko rihā kaise karūñ

par sameTe KHud hi baiTha hai parinda ek taraf

jo qafas mein hi nahin us ko riha kaise karun

yahī sabab hai ki aksar udaas rahte haiñ

jo ham se duur haiñ vo aas paas rahte haiñ

yahi sabab hai ki aksar udas rahte hain

jo hum se dur hain wo aas pas rahte hain

  • Share this

More Authors From "Lucknow"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now