Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha

Moid Rasheedi

aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha

Moid Rasheedi

MORE BYMoid Rasheedi

    āñkhoñ meñ shab utar ga.ī ḳhvāboñ silsila rahā

    maiñ ḳhud ko dekhtā rahā maiñ ḳhud ko sochtā rahā

    ḳhud ko pukārtā rahā, koī ḳhabar nahīñ milī

    kis ḳhabar nahīñ milī, kis ko pukārtā rahā

    us talāsh na thii, apnī talāsh bhī na thī

    khone ḳhauf kuchh na thaa, phir kaisā fāsla rahā

    kuchh mas.ale to ghar ga.e, kuchh mas.ale bikhar ga.e

    sab mas.ale guzar ga.e aur ek mas.ala rahā

    vo bhī bikhar bikhar gayā maiñ bhī idhar udhar gayā

    vo bhī dhuāñ dhuāñ kuchh maiñ bhī ġhubār rahā

    lafzoñ shāḳheñ phail kar mere lahū se aa milīñ

    kuchh qahqahe uchhal ga.e aur koī chīḳhtā rahā

    aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha

    main KHud ko dekhta raha main KHud ko sochta raha

    KHud ko pukarta raha, koi KHabar nahin mili

    kis ki KHabar nahin mili, kis ko pukarta raha

    us ki talash hi na thi, apni talash bhi na thi

    khone ka KHauf kuchh na tha, phir kaisa fasla raha

    kuchh masale to ghar gae, kuchh masale bikhar gae

    sab masale guzar gae aur ek masala raha

    wo bhi bikhar bikhar gaya main bhi idhar udhar gaya

    wo bhi dhuan dhuan sa kuchh main bhi ghubar sa raha

    lafzon ki shaKHen phail kar mere lahu se aa milin

    kuchh qahqahe uchhal gae aur koi chiKHta raha

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Moid Rasheedi

    Moid Rasheedi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now