aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aao koi tafrih ka saman kiya jae

Qateel Shifai

aao koi tafrih ka saman kiya jae

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    aao koī tafrīh sāmān kiyā jaa.e

    phir se kisī vaa.iz ko pareshān kiyā jaa.e

    be-laġhzish-e-pā mast huuñ un āñkhoñ se kar

    yuuñ mohtasib-e-shahr ko hairān kiyā jaa.e

    har shai se muqaddas hai ḳhayālāt rishta

    kyuuñ maslahatoñ par use qurbān kiyā jaa.e

    muflis ke badan ko bhī hai chādar zarūrat

    ab khul ke mazāroñ pe ye elaan kiyā jaa.e

    vo shaḳhs jo dīvānoñ izzat nahīñ kartā

    us shaḳhs bhī chaak garebān kiyā jaa.e

    pahle bhī 'qatīl' āñkhoñ ne khaa.e ka.ī dhoke

    ab aur na bīnā.ī nuqsān kiyā jaa.e

    aao koi tafrih ka saman kiya jae

    phir se kisi waiz ko pareshan kiya jae

    be-laghzish-e-pa mast hun un aankhon se pi kar

    yun mohtasib-e-shahr ko hairan kiya jae

    har shai se muqaddas hai KHayalat ka rishta

    kyun maslahaton par use qurban kiya jae

    muflis ke badan ko bhi hai chadar ki zarurat

    ab khul ke mazaron pe ye elan kiya jae

    wo shaKHs jo diwanon ki izzat nahin karta

    us shaKHs ka bhi chaak gareban kiya jae

    pahle bhi 'qatil' aankhon ne khae kai dhoke

    ab aur na binai ka nuqsan kiya jae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Qateel Shifai

    Qateel Shifai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now