Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kya kahen kisi se ye apni zaban se hum

Mahesh Chandra Naqsh

ab kya kahen kisi se ye apni zaban se hum

Mahesh Chandra Naqsh

MORE BYMahesh Chandra Naqsh

    ab kyā kaheñ kisī se ye apnī zabāñ se ham

    be-zār ho chuke haiñ fareb-e-jahāñ se ham

    nazzāra-e-jamāl 'ālam ajiib thā

    mad.hosh o be-ḳhabar the vahāñ be-zabāñ se ham

    ab hāl-e-iztirāb-e-tabī.at na pūchhiye

    taḌpe haiñ 'umr bhar tire dard-e-nihāñ se ham

    ye zor-e-barq-o-bād ye tūfān al-amāñ

    mahrūm ho na jaa.eñ kahīñ āshiyāñ se ham

    jin mahak se ruuh pe taarī hai be-ḳhudī

    vo phuul chun rahe haiñ tire gulsitāñ se ham

    tāmīr-e-nau hai parda-e-taḳhrīb meñ nihāñ

    samjhe haiñ rāz-e-dahr ye daur-e-jahāñ se ham

    manzil pe ho rahī haiñ qayāmat shorisheñ

    ġhāfil paḌe hue haiñ magar kārvāñ se ham

    nāseh! ḳhayāl-e-tark-e-mohabbat se fā.eda

    vāqif nahīñ haiñ kyā alam-e-jāvedāñ se ham

    ai 'naqsh' muḳhtasar ye haqīqat hai maut

    phir aa ga.e vahīñ pe chale the jahāñ se ham

    ab kya kahen kisi se ye apni zaban se hum

    be-zar ho chuke hain fareb-e-jahan se hum

    nazzara-e-jamal ka 'alam ajib tha

    madhosh o be-KHabar the wahan be-zaban se hum

    ab haal-e-iztirab-e-tabiat na puchhiye

    taDpe hain 'umr bhar tere dard-e-nihan se hum

    ye zor-e-barq-o-baad ye tufan al-aman

    mahrum ho na jaen kahin aashiyan se hum

    jin ki mahak se ruh pe tari hai be-KHudi

    wo phul chun rahe hain tere gulsitan se hum

    tamir-e-nau hai parda-e-taKHrib mein nihan

    samjhe hain raaz-e-dahr ye daur-e-jahan se hum

    manzil pe ho rahi hain qayamat ki shorishen

    ghafil paDe hue hain magar karwan se hum

    naseh! KHayal-e-tark-e-mohabbat se faeda

    waqif nahin hain kya alam-e-jawedan se hum

    ai 'naqsh' muKHtasar ye haqiqat hai maut ki

    phir aa gae wahin pe chale the jahan se hum

    Source:

    Andaaz (Pg. 106)

    • Author: Mahesh Chandr Naqsh
      • Edition: 1962
      • Publisher: Sangam Kitab Ghar,  Delhi
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now