Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera

Allama Iqbal

agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    (Bal-e-Jibril)

    agar kaj-rau haiñ anjum āsmāñ terā hai merā

    mujhe fikr-e-jahāñ kyuuñ ho jahāñ terā hai merā

    agar hañgāma-hā-e-shauq se hai lā-makāñ ḳhālī

    ḳhatā kis hai rab lā-makāñ terā hai merā

    use sub.h-e-azal inkār jur.at huī kyūñkar

    mujhe mālūm kyā vo rāz-dāñ terā hai merā

    mohammad bhī tirā jibrīl bhī qur.ān bhī terā

    magar ye harf-e-shīrīñ tarjumāñ terā hai merā

    isī kaukab tābānī se hai terā jahāñ raushan

    zavāl-e-ādam-e-ḳhākī ziyāñ terā hai merā

    agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera

    mujhe fikr-e-jahan kyun ho jahan tera hai ya mera

    agar hangama-ha-e-shauq se hai la-makan KHali

    KHata kis ki hai ya rab la-makan tera hai ya mera

    use subh-e-azal inkar ki jurat hui kyunkar

    mujhe malum kya wo raaz-dan tera hai ya mera

    mohammad bhi tera jibril bhi quran bhi tera

    magar ye harf-e-shirin tarjuman tera hai ya mera

    isi kaukab ki tabani se hai tera jahan raushan

    zawal-e-adam-e-KHaki ziyan tera hai ya mera

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Seema Sehgal

    Seema Sehgal

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    agar kaj-rau hain anjum aasman tera hai ya mera Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now