aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-jahan ke milne se hum ehtiraaz kar

Joshish Azimabadi

ahl-e-jahan ke milne se hum ehtiraaz kar

Joshish Azimabadi

MORE BYJoshish Azimabadi

    ahl-e-jahāñ ke milne se ham ehtirāz kar

    baiThe haiñ gosha-gīr ho is dil se saaz kar

    sūrat usī hai mutajallī har ek meñ

    dekhe jo koī chashm-e-haqīqat ko baaz kar

    sajda jise kareñ haiñ har-sū hai jalva-gar

    jīdhar tirā mizāj ho ūdhar namāz kar

    go āsmān par bhī uḌā to kyā huā

    maiñ kaun huuñ kahāñ huuñ ye bhī imtiyāz kar

    kal ek pal bhī na thamā us ke rū-ba-rū

    ai ashk kyā milā tujhe ifshā-e-rāz kar

    'joshish' ho jab talak ki haqīqat se tujh ko raah

    tab tak barā.e-shuġhl sair-e-majāz kar

    ahl-e-jahan ke milne se hum ehtiraaz kar

    baiThe hain gosha-gir ho is dil se saz kar

    surat usi ki hai mutajalli har ek mein

    dekhe jo koi chashm-e-haqiqat ko baz kar

    sajda jise karen hain har-su hai jalwa-gar

    jidhar tera mizaj ho udhar namaz kar

    go aasman par bhi uDa tu to kya hua

    main kaun hun kahan hun ye bhi imtiyaz kar

    kal ek pal bhi tu na thama us ke ru-ba-ru

    ai ashk kya mila tujhe ifsha-e-raaz kar

    'joshish' ho jab talak ki haqiqat se tujh ko rah

    tab tak barae-shughl tu sair-e-majaz kar

    Source:

    Deewan-e-Joshish(Rekhta Website) (Pg. 94)

      • Edition: 1976
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now