aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai

Iftikhar Raghib

andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai

Iftikhar Raghib

MORE BYIftikhar Raghib

    andāz-e-sitam un nihāyat alag hai

    guzrī hai jo dil par vo qayāmat alag hai

    le jaa.e jahāñ chāhe havā ham ko uḌā kar

    TuuTe hue pattoñ hikāyat alag hai

    pardes meñ rah kar koī kyā paañv jamā.e

    gamle meñ lage phuul qismat alag hai

    jitnā hai samar jis pe vo utnā hai ḳhamīda

    phaldār daraḳhtoñ tabī.at alag hai

    bāhar se to lagtā hai ki shādāb hai gulshan

    andar se har ik peḌ hālat alag hai

    har ek ġhazal tujh se mansūb hai merī

    andāz mirā terī badaulat alag hai

    kis kis ko batā.ūñ ki maiñ buzdil nahīñ 'rāġhib'

    is daur meñ mafhūm-e-sharāfat alag hai

    andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai

    guzri hai jo dil par wo qayamat hi alag hai

    le jae jahan chahe hawa hum ko uDa kar

    TuTe hue patton ki hikayat hi alag hai

    pardes mein rah kar koi kya panw jamae

    gamle mein lage phul ki qismat hi alag hai

    jitna hai samar jis pe wo utna hai KHamida

    phaldar daraKHton ki tabiat hi alag hai

    bahar se to lagta hai ki shadab hai gulshan

    andar se har ek peD ki haalat hi alag hai

    har ek ghazal tujh se hi mansub hai meri

    andaz mera teri badaulat hi alag hai

    kis kis ko bataun ki main buzdil nahin 'raghib'

    is daur mein mafhum-e-sharafat hi alag hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iftikhar Raghib

    Iftikhar Raghib

    RECITATIONS

    Iftikhar Raghib

    Iftikhar Raghib,

    Iftikhar Raghib

    andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai Iftikhar Raghib

    Source:

    gazal darakht (Pg. 63)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now