dekha jo marg to marna ziyan na tha

Anwar Dehlvi

dekha jo marg to marna ziyan na tha

Anwar Dehlvi

MORE BYAnwar Dehlvi

  dekhā jo marg to marnā ziyāñ na thā

  faanī ke badle mulk-e-baqā kuchh garāñ na thā

  shab ko baġhal meñ thā bhī to vo dilsitāñ na thā

  shoḳhī ye kah rahī thī ki yaañ thā vahāñ na thā

  be-vaj.h muñh chhupāne se jo thā nihāñ na thā

  par ḳhair thī kuchh is meñ ki maiñ bad-gumān na thā

  ye to nahīñ ki ab ke vo mutlaq vahāñ na thā

  lekin savāl-e-vasl ye kahne ko haañ na thā

  vo but kahūñ zamīñ pe jo bala-garāñ na thā

  ham-sañg lekin us magar āsmāñ na thā

  hasrat ke sadqe aañkh ke malte khul gayā

  vo kuchh ki mumkināt se jis bayāñ na thā

  naala jo apnā pāya-e-tāsīr se girā

  itnā subuk huā ki maiñ itnā garāñ na thā

  the bazm meñ vo ġhuncha-e-afsurda sharm se

  kyūñkar kahūñ bahār meñ rañg-e-ḳhizāñ na thā

  kaisī hayā kahāñ vafā pās-e-ḳhalq kyā

  haañ ye sahī ki aap ko aanā yahāñ na thā

  sab kaam apnī ek nigah par haiñ munhasir

  goyā mire liye to banā āsmāñ na thā

  kyuuñ mujh pe tez nigah-e-qahr chhurī

  maiñ daur-e-charḳh meñ koī sañg-e-fasāñ na thā

  kuchh apne dil ke valvale kuchh zāhidoñ zid

  sar phoḌne ko varna vahī āstāñ na thā

  ā.īna ko vo dekhte haiñ un shakl ham

  thā ham ko vo gumāñ ki unhīñ vo gumāñ na thā

  inkār mahz mahz ġhalat mezbāñ sahī

  maanā ki bazm-e-ġhair meñ mehmāñ na thā

  dushman harīf-e-rāh-e-vafā hai ḳhudā shaañ

  vahāñ jis pe thā yaqīn mujhe us gumāñ na thā

  hairān huuñ hijāb-e-judā.ī uThā na kyuuñ

  vo nāznīñ the maiñ to koī nā-tavāñ na thā

  ab āsmāñ ban ke mirā mudda.ī banā

  thī lab pe kuchh fuġhāñ to falak nishāñ na thā

  Tapkā zamīñ pe gar falak-e-pīr ko to kyā

  phir ye kaheñge sab ki vo kuchh naujavāñ na thā

  kuchh jazb dil meñ jaan ke samjhe the un ko paas

  ek vahm se yaqīn pe kyā kuchh gumāñ na thā

  gardūñ se aaj hai falak-e-zulm phaT paḌā

  siina meñ aaj dam-e-ātish-fishāñ na thā

  husn-e-jahāñ-faroz se jis na the vo but

  maiñ be-nishāniyoñ se jahāñ thā vahāñ na thā

  yuuñ ḳhāmushī se ḳhush ki vo tasvīr the magar

  yuuñ baat se ba-tañg ki guyyañ vahāñ na thā

  bhārī hue yahāñ to subuk hogī zindagī

  vahāñ to nazar se ham ko girānā garāñ na thā

  the be-ḳhudī meñ paas vo hosh aa.ī to ga.e

  chūke ġhazab hosh meñ aanā yahāñ na thā

  aanā ye un sub.h ko merī ajal ke saath

  ya.anī ki nāla-e-shab-e-ġham rā.egāñ na thā

  thā kuchh shikast-e-dil se mirā imtihān-e-sabr

  vahāñ apnī nāzukī faqat imtihāñ na thā

  be-mehr yuuñ na ho ki ye ḳhush ho ke maiñ kahūñ

  shāyad ki raqīb pe bhī mehrbāñ na thā

  maiñ aur roz-e-vasl-e-adū aur shab-e-firāq

  yahāñ āsmāñ na thā ki vahāñ āsmāñ na thā

  farhād kohkan thā ye ik halkī baat hai

  āshiq thā be-sutūñ uThānā garāñ na thā

  shab mujh se aañkh maltī rahī dil raqīb se

  yahāñ yuuñ sitam rahā ki kisī par ayaañ na thā

  thā dostoñ yaar tarīq aur diloñ se duur

  kyā thā jo maiñ ġhubār-e-pas-e-kārvāñ na thā

  hairān huuñ ki dam meñ tire kyūñki aa gayā

  maiñ varna apne dil meñ kahāñ se kahāñ na thā

  martā huuñ ki kyuuñ na rahā dil meñ tīr-e-yār

  ārām-jāñ thā koī āzār-jāñ na thā

  dekhā na aañkh uThā ke mujhe nāzukī se jhuuT

  aisā to kuchh nigāh uThānā garāñ na thā

  ḳhālī dar un paayā to dil vahm se rukā

  thā pāsbāñ meñ aap jo vahāñ pāsbāñ na thā

  kis be-dilī se hijr meñ ham ne zindagī

  dil thā kahāñ ki yahāñ vo but-e-dilsitāñ na thā

  miT jaanā apnā us rahā sab ke dil pe naqsh

  ek ye bhī thā nishāñ ki mirā kuchh nishāñ na thā

  kuchh vahm sadd-e-rāh-e-sitam thā ki vaqt-e-zab.h

  mere gulū pe ḳhanjar-e-qātil ravāñ na thā

  'anvar' ne badle jaan ke jins-e-dard-e-dil

  aur is pe naaz ye ki ye saudā garāñ na thā

  dekha jo marg to marna ziyan na tha

  fani ke badle mulk-e-baqa kuchh garan na tha

  shab ko baghal mein tha bhi to wo dilsitan na tha

  shoKHi ye kah rahi thi ki yan tha wahan na tha

  be-wajh munh chhupane se jo tha nihan na tha

  par KHair thi kuchh is mein ki main bad-guman na tha

  ye to nahin ki ab ke wo mutlaq wahan na tha

  lekin sawal-e-wasl ye kahne ko han na tha

  wo but hi kahun zamin pe jo bala-garan na tha

  ham-sang lekin us ka magar aasman na tha

  hasrat ke sadqe aankh ke malte hi khul gaya

  wo kuchh ki mumkinat se jis ka bayan na tha

  nala jo apna paya-e-tasir se gira

  itna subuk hua ki main itna garan na tha

  the bazm mein wo ghuncha-e-afsurda sharm se

  kyunkar kahun bahaar mein rang-e-KHizan na tha

  kaisi haya kahan ki wafa pas-e-KHalq kya

  han ye sahi ki aap ko aana yahan na tha

  sab kaam apni ek nigah par hain munhasir

  goya mere liye to bana aasman na tha

  kyun mujh pe tez ki nigah-e-qahr ki chhuri

  main daur-e-charKH mein koi sang-e-fasan na tha

  kuchh apne dil ke walwale kuchh zahidon ki zid

  sar phoDne ko warna wahi aastan na tha

  aaina ko wo dekhte hain un ki shakl hum

  tha hum ko wo guman ki unhin wo guman na tha

  inkar mahz mahz ghalat mezban sahi

  mana ki bazm-e-ghair mein tu mehman na tha

  dushman harif-e-rah-e-wafa hai KHuda ki shan

  wahan jis pe tha yaqin mujhe us ka guman na tha

  hairan hun hijab-e-judai uTha na kyun

  wo naznin the main to koi na-tawan na tha

  ab aasman ban ke mera muddai bana

  thi lab pe kuchh fughan to falak ka nishan na tha

  Tapka zamin pe gar falak-e-pir ko to kya

  phir ye kahenge sab ki wo kuchh naujawan na tha

  kuchh jazb dil mein jaan ke samjhe the un ko pas

  ek wahm se yaqin pe kya kuchh guman na tha

  gardun se aaj hai falak-e-zulm phaT paDa

  sina mein aaj hi dam-e-atish-fishan na tha

  husn-e-jahan-faroz se jis ja na the wo but

  main be-nishaniyon se jahan tha wahan na tha

  yun KHamushi se KHush ki wo taswir the magar

  yun baat se ba-tang ki guyyan wahan na tha

  bhaari hue yahan to subuk hogi zindagi

  wahan to nazar se hum ko girana garan na tha

  the be-KHudi mein pas wo hosh aai to gae

  chuke ghazab hi hosh mein aana yahan na tha

  aana ye un ka subh ko meri ajal ke sath

  yani ki nala-e-shab-e-gham raegan na tha

  tha kuchh shikast-e-dil se mera imtihan-e-sabr

  wahan apni nazuki ka faqat imtihan na tha

  be-mehr yun na ho ki ye KHush ho ke main kahun

  shayad ki tu raqib pe bhi mehrban na tha

  main aur roz-e-wasl-e-adu aur shab-e-firaq

  yahan aasman na tha ki wahan aasman na tha

  farhad kohkan tha ye ek halki baat hai

  aashiq tha be-sutun ka uThana garan na tha

  shab mujh se aankh malti rahi dil raqib se

  yahan yun sitam raha ki kisi par ayan na tha

  tha doston ka yar tariq aur dilon se dur

  kya tha jo main ghubar-e-pas-e-karwan na tha

  hairan hun ki dam mein tere kyunki aa gaya

  main warna apne dil mein kahan se kahan na tha

  marta hun ki kyun na raha dil mein tir-e-yar

  aaram-jaan tha koi aazar-jaan na tha

  dekha na aankh uTha ke mujhe nazuki se jhuT

  aisa to kuchh nigah ka uThana garan na tha

  KHali dar un ka paya to dil wahm se ruka

  tha pasban mein aap jo wahan pasban na tha

  kis be-dili se hijr mein ki hum ne zindagi

  dil tha kahan ki yahan wo but-e-dilsitan na tha

  miT jaana apna us ka raha sab ke dil pe naqsh

  ek ye bhi tha nishan ki mera kuchh nishan na tha

  kuchh wahm sadd-e-rah-e-sitam tha ki waqt-e-zabh

  mere gulu pe KHanjar-e-qatil rawan na tha

  'anwar' ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil

  aur is pe naz ye ki ye sauda garan na tha

  Source :
  • Deewan-e-Anwar Nazm-e-Dilfroz
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY