Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni palkon ke shabistan mein rakkha hai tumhein

Tariq Qamar

apni palkon ke shabistan mein rakkha hai tumhein

Tariq Qamar

MORE BYTariq Qamar

    apnī palkoñ ke shabistān meñ rakkhā hai tumheñ

    tum sahīfa ho so juzdān meñ rakkhā hai tumheñ

    saath hone ke yaqīñ meñ bhī mire saath ho tum

    aur na hone ke bhī imkān meñ rakkhā hai tumheñ

    ek kam-zarf ke saa.e se bhalī hai ye dhuup

    tum samajhte ho ki nuqsān meñ rakkhā hai tumheñ

    jitne aañsū haiñ sabhī nazr kiye haiñ tum ko

    ham ne har sher ke vijdān meñ rakkhā hai tumheñ

    dil to dīvāna hai apnā use hosh nahīñ

    is liye dil meñ nahīñ jaan meñ rakkhā hai tumheñ

    mere zaḳhmoñ sabab pūchhegī duniyā tum se

    maiñ ne har zaḳhm pahchān meñ rakkhā hai tumheñ

    apni palkon ke shabistan mein rakkha hai tumhein

    tum sahifa ho so juzdan mein rakkha hai tumhein

    sath hone ke yaqin mein bhi mere sath ho tum

    aur na hone ke bhi imkan mein rakkha hai tumhein

    ek kam-zarf ke sae se bhali hai ye dhup

    tum samajhte ho ki nuqsan mein rakkha hai tumhein

    jitne aansu hain sabhi nazr kiye hain tum ko

    hum ne har sher ke wijdan mein rakkha hai tumhein

    dil to diwana hai apna hi use hosh nahin

    is liye dil mein nahin jaan mein rakkha hai tumhein

    mere zaKHmon ka sabab puchhegi duniya tum se

    main ne har zaKHm ki pahchan mein rakkha hai tumhein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now