Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak

Syed Ehtisham Husain

aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak

Syed Ehtisham Husain

MORE BYSyed Ehtisham Husain

    aql pahuñchī jo rivāyāt ke kāshāne tak

    ek rasm milī kaaba se but-ḳhāne tak

    vādi-e-shab meñ ujāloñ guzar ho kaise

    dil jalā.e raho paiġhām-e-sahar aane tak

    ye bhī dekhā hai ki saaqī se milā jaam magar

    hoñT tarse hue pahuñche nahīñ paimāne tak

    regzāroñ meñ kahīñ phuul khilā karte haiñ

    raushnī kho ga.ī aa kar mire vīrāne tak

    ham-nashīñ kaT gayā daur-e-ḳhizāñ bhī āḳhir

    zikr phūloñ rahā fasl-e-bahār aane tak

    saarī uljhan hai sukūñ ke liye ai shauq Thahar

    ġham tūfān-e-balā-ḳhez guzar jaane tak

    zehn māyūs-e-karam shauq-e-nazāra sarshār

    hosh meñ kaise rahūñ un payām aane tak

    zaḳhm yādoñ ke mahakte haiñ ki aa.ī hai bahār

    hai ye daulat ġham-e-daurāñ ḳhizāñ aane tak

    be-niyāzī hai taġhāful hai ki be-zārī hai

    baat itnī to samajh lete haiñ dīvāne tak

    zindagī ġham se ulajhtī rahegī hamdam

    vaqt zulf girah-gīr sulajh jaane tak

    manzil-e-rāh talab thī to kahīñ aur magar

    ruk ga.e ḳhud qadam pahuñche jo mai-ḳhāne tak

    aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak

    ek hi rasm mili kaba se but-KHane tak

    wadi-e-shab mein ujalon ka guzar ho kaise

    dil jalae raho paigham-e-sahar aane tak

    ye bhi dekha hai ki saqi se mila jam magar

    honT tarse hue pahunche nahin paimane tak

    regzaron mein kahin phul khila karte hain

    raushni kho gai aa kar mere virane tak

    ham-nashin kaT hi gaya daur-e-KHizan bhi aaKHir

    zikr phulon ka raha fasl-e-bahaar aane tak

    sari uljhan hai sukun ke liye ai shauq Thahar

    gham ka tufan-e-bala-KHez guzar jaane tak

    zehn mayus-e-karam shauq-e-nazara sarshaar

    hosh mein kaise rahun un ka payam aane tak

    zaKHm yaadon ke mahakte hain ki aai hai bahaar

    hai ye daulat gham-e-dauran ki KHizan aane tak

    be-niyazi hai taghaful hai ki be-zari hai

    baat itni to samajh lete hain diwane tak

    zindagi gham se ulajhti hi rahegi hamdam

    waqt ki zulf girah-gir sulajh jaane tak

    manzil-e-rah talab thi to kahin aur magar

    ruk gae KHud hi qadam pahunche jo mai-KHane tak

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now