aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaDha pani zara tu apne dhaare se nikal aaya

Javed Shaheen

chaDha pani zara tu apne dhaare se nikal aaya

Javed Shaheen

MORE BYJaved Shaheen

    chaḌhā paanī zarā apne dhāre se nikal aayā

    achānak ik jagah dariyā kināre se nikal aayā

    bahut raushan thā vo aur āḳhir-e-shab ke ufuq par thā

    mire sāmne din us sitāre se nikal aayā

    mujhe apne badan ḳhas jalānā thā zamistāñ meñ

    mirā ye kaam dil ke sharāre se nikal aayā

    tah-e-dariyā paḌe rahnā thā maiñ ne bhī guhar-sūrat

    thī mauj-e-tund ik jis ke sahāre se nikal aayā

    safar ko ik jagah se kar liyā kuchh lambā aur mushkil

    ġhalat rasta thā vo jis ke ishāre se nikal aayā

    hisāb-e-dostāñ karne se mālūm ye hogā

    ḳhasāre meñ huuñ ab maiñ ḳhasāre se nikal aayā

    bahut mushkil thā kuchh us husn tārīf meñ kahnā

    mirā matlab magar ik isti.āre se nikal aayā

    zamīn-e-dil ko bas thoḌe se paanī zarūrat thī

    ye paanī ik guzarte abr paare se nikal aayā

    mujhe phir qaid kar lenā thā us ke husn ne 'shāhīñ'

    munāsib vaqt par maiñ ik nazāre se nikal aayā

    chaDha pani zara tu apne dhaare se nikal aaya

    achanak ek jagah dariya kinare se nikal aaya

    bahut raushan tha wo aur aaKHir-e-shab ke ufuq par tha

    mere hi samne din us sitare se nikal aaya

    mujhe apne badan ka KHas jalana tha zamistan mein

    mera ye kaam dil hi ke sharare se nikal aaya

    tah-e-dariya paDe rahna tha main ne bhi guhar-surat

    thi mauj-e-tund ek jis ke sahaare se nikal aaya

    safar ko ek jagah se kar liya kuchh lamba aur mushkil

    ghalat rasta tha wo jis ke ishaare se nikal aaya

    hisab-e-dostan karne hi se malum ye hoga

    KHasare mein hun ya ab main KHasare se nikal aaya

    bahut mushkil tha kuchh us husn ki tarif mein kahna

    mera matlab magar ek istiare se nikal aaya

    zamin-e-dil ko bas thoDe se pani ki zarurat thi

    ye pani ek guzarte abr pare se nikal aaya

    mujhe phir qaid kar lena tha us ke husn ne 'shahin'

    munasib waqt par main ek nazare se nikal aaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    chaDha pani zara tu apne dhaare se nikal aaya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now