Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoDa na mujhe dil ne meri jaan kahin ka

Iftikhar Raghib

chhoDa na mujhe dil ne meri jaan kahin ka

Iftikhar Raghib

MORE BYIftikhar Raghib

    chhoḌā na mujhe dil ne mirī jaan kahīñ

    dil hai ki nahīñ māntā nādān kahīñ

    jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ isī soch meñ gum haiñ

    ḳhvāhish hai kahīñ to hai armān kahīñ

    ham hijr ke māroñ ko kahīñ chain kahāñ hai

    mausam nahīñ jachtā hameñ ik aan kahīñ

    is shoḳhī-e-guftār par aatā hai bahut pyaar

    jab pyaar se kahte haiñ vo shaitān kahīñ

    ye vasl rut hai ki judā.ī hai mausam

    ye gulshan-e-dil hai ki bayābān kahīñ

    kar de na ise ġharq koī naddī kahīñ

    ḳhud ko jo samajh baiThā hai bhagvān kahīñ

    ik harf bhī tahrīf-zada ho to dikhā.e

    le aa.e uThā kar koī qur.ān kahīñ

    mahbūb nagar ho ki ġhazal gaaño ho 'rāġhib'

    dastūr-e-mohabbat nahīñ āsān kahīñ

    chhoDa na mujhe dil ne meri jaan kahin ka

    dil hai ki nahin manta nadan kahin ka

    jaen to kahan jaen isi soch mein gum hain

    KHwahish hai kahin ki to hai arman kahin ka

    hum hijr ke maron ko kahin chain kahan hai

    mausam nahin jachta hamein ek aan kahin ka

    is shoKHi-e-guftar par aata hai bahut pyar

    jab pyar se kahte hain wo shaitan kahin ka

    ye wasl ki rut hai ki judai ka hai mausam

    ye gulshan-e-dil hai ki bayaban kahin ka

    kar de na ise gharq koi naddi kahin ki

    KHud ko jo samajh baiTha hai bhagwan kahin ka

    ek harf bhi tahrif-zada ho to dikhae

    le aae uTha kar koi quran kahin ka

    mahbub nagar ho ki ghazal gano ho 'raghib'

    dastur-e-mohabbat nahin aasan kahin ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iftikhar Raghib

    Iftikhar Raghib

    RECITATIONS

    Iftikhar Raghib

    Iftikhar Raghib,

    Iftikhar Raghib

    chhoDa na mujhe dil ne meri jaan kahin ka Iftikhar Raghib

    Source:

    Khayal-e-Chehra (Pg. 26)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now