aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dad bhi fitna-e-bedad bhi qatil ki taraf

Ghulam Rabbani Taban

dad bhi fitna-e-bedad bhi qatil ki taraf

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    daad bhī fitna-e-bedād bhī qātil taraf

    be-gunāhī ke sivā kaun thā bismil taraf

    manzileñ raah meñ thiiñ naqsh-e-qadam sūrat

    ham ne muḌ kar bhī na dekhā kisī manzil taraf

    maqtal-e-nāz se guzre to guzarne vaale

    phuul kuchh pheñk ga.e dāman-e-qātil taraf

    jhilmilāte nahīñ be-vaj.h to mahfil ke charāġh

    ik nazar dekh to lo sāhab-e-mahfil taraf

    kitnī be-kaif haiñ sāhil fazā.eñ rab

    koī tūfān ruḳh moḌ de sāhil taraf

    yaad aatā hai vo andāz-e-tajāhul ai dost

    baat auroñ se magar rū-e-suḳhan dil taraf

    zikr aayā thā hayāt-e-abadī 'tābāñ'

    log kyuuñ takne lage kūcha-e-qātil taraf

    dad bhi fitna-e-bedad bhi qatil ki taraf

    be-gunahi ke siwa kaun tha bismil ki taraf

    manzilen rah mein thin naqsh-e-qadam ki surat

    hum ne muD kar bhi na dekha kisi manzil ki taraf

    maqtal-e-naz se guzre to guzarne wale

    phul kuchh phenk gae daman-e-qatil ki taraf

    jhilmilate nahin be-wajh to mahfil ke charagh

    ek nazar dekh to lo sahab-e-mahfil ki taraf

    kitni be-kaif hain sahil ki fazaen ya rab

    koi tufan ka ruKH moD de sahil ki taraf

    yaad aata hai wo andaz-e-tajahul ai dost

    baat auron se magar ru-e-suKHan dil ki taraf

    zikr aaya tha hayat-e-abadi ka 'taban'

    log kyun takne lage kucha-e-qatil ki taraf

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dad bhi fitna-e-bedad bhi qatil ki taraf Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now