Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard aa ke baDha do dil ka tum ye kaam tumhein kya mushkil hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

dard aa ke baDha do dil ka tum ye kaam tumhein kya mushkil hai

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi

    dard aa ke baḌhā do dil tum ye kaam tumheñ kyā mushkil hai

    bīmār banānā āsāñ hai har-chand mudāvā mushkil hai

    ilzām na deñge ham tum ko taskīn meñ koī na kamī

    vaada to vafā tum ne kiyā kyā kījiye iifā mushkil hai

    dil toḌ diyā tum ne merā ab joḌ chuke tum TuuTe ko

    vo kaam nihāyat āsāñ thā ye kaam balā mushkil hai

    āġhāz se zāhir hotā hai anjām jo hone vaalā hai

    andāz-e-zamāna kahtā hai puurī ho tamannā mushkil hai

    mauqūf karo ab fikr-e-suḳhan 'vahshat' na karo ab zikr-e-suḳhan

    jo kaam ki be-hāsil Thahrā dil us meñ lagānā mushkil hai

    dard aa ke baDha do dil ka tum ye kaam tumhein kya mushkil hai

    bimar banana aasan hai har-chand mudawa mushkil hai

    ilzam na denge hum tum ko taskin mein koi ki na kami

    wada to wafa ka tum ne kiya kya kijiye ifa mushkil hai

    dil toD diya tum ne mera ab joD chuke tum TuTe ko

    wo kaam nihayat aasan tha ye kaam bala ka mushkil hai

    aaghaz se zahir hota hai anjam jo hone wala hai

    andaz-e-zamana kahta hai puri ho tamanna mushkil hai

    mauquf karo ab fikr-e-suKHan 'wahshat' na karo ab zikr-e-suKHan

    jo kaam ki be-hasil Thahra dil us mein lagana mushkil hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dard aa ke baDha do dil ka tum ye kaam tumhein kya mushkil hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now