aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard baDhta gaya jitne darman kiye pyas baDhti gai jitne aansu piye

Amir Usmani

dard baDhta gaya jitne darman kiye pyas baDhti gai jitne aansu piye

Amir Usmani

MORE BYAmir Usmani

    dard baḌhtā gayā jitne darmāñ kiye pyaas baḌhtī ga.ī jitne aañsū piye

    aur jab dāman-e-zabt chhuTne lagā ham ne ḳhvāboñ ke jhūTe sahāre liye

    ishq baḌhtā rahā sū-e-dār-o-rasan zaḳhm khātā huā muskurātā huā

    rāsta rokte rokte thak ga.e zindagī ke badalte hue zāviye

    gum huī jab andheroñ meñ rāh-e-vafā ham ne sham-e-junūñ se ujālā kiyā

    jab na paa.ī koī shakl-e-baḳhiya-garī ham ne kāñToñ se zaḳhmoñ ke muñh liye

    us ke vādoñ se itnā to sābit huā us ko thoḌā pās-e-ta.alluq to hai

    ye alag baat hai vo hai vāda-shikan ye bhī kuchh kam nahīñ us ne vaade kiye

    ḳhatm hone ko hai qissa-e-zindagī ab hameñ aap se koī shikva nahīñ

    Tal na jaa.e kahīñ maut aa.ī huī pursish-e-ġham zahmat na farmā.iye

    jab hijāboñ meñ pinhāñ thā husn-e-butāñ but-parastī bhī ek meyār thā

    ab to har moḌ par but but jalvagar ab kahāñ tak butoñ ko ḳhudā māniye

    kitne arbāb-e-himmat ne un ke liye baḌh ke maidān meñ jaan bhī haar

    ab bhī un nigāhoñ meñ hai bad-zanī ab bhī un ko vafā sanad chāhiye

    jis ne luuTā thā us ko salāmī milī ham luTe ham ko mulzim batāyā gayā

    mast āñkhoñ pe ilzām aayā nahīñ ham pe lagtī rahīñ tohmateñ bin piye

    jis ne 'āmir' matā-e-ḳhudī bech sach ye hai ismat-e-zindagī bech

    sar jhukāne se behtar hai sar dījiye bhiik lene se behtar hai mar jā.iye

    dard baDhta gaya jitne darman kiye pyas baDhti gai jitne aansu piye

    aur jab daman-e-zabt chhuTne laga hum ne KHwabon ke jhuTe sahaare liye

    ishq baDhta raha su-e-dar-o-rasan zaKHm khata hua muskuraata hua

    rasta rokte rokte thak gae zindagi ke badalte hue zawiye

    gum hui jab andheron mein rah-e-wafa hum ne sham-e-junun se ujala kiya

    jab na pai koi shakl-e-baKHiya-gari hum ne kanTon se zaKHmon ke munh si liye

    us ke wadon se itna to sabit hua us ko thoDa sa pas-e-talluq to hai

    ye alag baat hai wo hai wada-shikan ye bhi kuchh kam nahin us ne wade kiye

    KHatm hone ko hai qissa-e-zindagi ab hamein aap se koi shikwa nahin

    Tal na jae kahin maut aai hui pursish-e-gham ki zahmat na farmaiye

    jab hijabon mein pinhan tha husn-e-butan but-parasti ka bhi ek meyar tha

    ab to har moD par but hi but jalwagar ab kahan tak buton ko KHuda maniye

    kitne arbab-e-himmat ne un ke liye baDh ke maidan mein jaan bhi haar di

    ab bhi un ki nigahon mein hai bad-zani ab bhi un ko wafa ki sanad chahiye

    jis ne luTa tha us ko salami mili hum luTe hum ko mulzim bataya gaya

    mast aankhon pe ilzam aaya nahin hum pe lagti rahin tohmaten bin piye

    jis ne 'amir' mata-e-KHudi bech di sach ye hai ismat-e-zindagi bech di

    sar jhukane se behtar hai sar dijiye bhik lene se behtar hai mar jaiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now