Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diye se lau nahin pindar le kar ja rahi hai

Ghzala Shahid

diye se lau nahin pindar le kar ja rahi hai

Ghzala Shahid

MORE BYGhzala Shahid

    diye se lau nahīñ pindār le kar rahī hai

    havā ab sub.h ke āsār le kar rahī hai

    hamesha noch letī thī ḳhizāñ shāḳhoñ se patte

    magar is baar to ashjār le kar rahī hai

    maiñ ghar se rahā huuñ aur likhtā rahā huuñ

    jahāñ tak ḳhvāhish-e-dīdār le kar rahī hai

    ḳhalā meñ ġhaib āvāz ne chhoḌā hai mujh ko

    maiñ samjhā thā mujhe us paar le kar rahī hai

    mujhe us niiñd ke māthe bosa ho ināyat

    jo mujh se ḳhvāb āzār le kar rahī hai

    yahāñ par raat ko achchhā nahīñ kahtā hai koī

    so apne kaasa o dīnār le kar rahī hai

    tamāshe ke sabhī kirdār maare chuke haiñ

    kahānī sirf ik talvār le kar rahī hai

    diye se lau nahin pindar le kar ja rahi hai

    hawa ab subh ke aasar le kar ja rahi hai

    hamesha noch leti thi KHizan shaKHon se patte

    magar is bar to ashjar le kar ja rahi hai

    main ghar se ja raha hun aur likhta ja raha hun

    jahan tak KHwahish-e-didar le kar ja rahi hai

    KHala mein ghaib ki aawaz ne chhoDa hai mujh ko

    main samjha tha mujhe us par le kar ja rahi hai

    mujhe us nind ke mathe ka bosa ho inayat

    jo mujh se KHwab ka aazar le kar ja rahi hai

    yahan par raat ko achchha nahin kahta hai koi

    so apne kasa o dinar le kar ja rahi hai

    tamashe ke sabhi kirdar mare ja chuke hain

    kahani sirf ek talwar le kar ja rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now