aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dosti ka chalan raha hi nahin

Hafeez Jalandhari

dosti ka chalan raha hi nahin

Hafeez Jalandhari

MORE BYHafeez Jalandhari

    dostī chalan rahā nahīñ

    ab zamāne vo havā nahīñ

    sach to ye hai sanam-kade vaalo

    dil ḳhudā ne tumheñ diyā nahīñ

    palaT aane se ho gayā sābit

    nāma-bar vahāñ gayā nahīñ

    haal ye hai ki ham ġharīboñ

    haal tum ne kabhī sunā nahīñ

    kyā chale zor dasht-e-vahshat

    ham ne dāman kabhī siyā nahīñ

    ġhair bhī ek din mareñge zarūr

    un ke hisse meñ kyā qazā nahīñ

    us sūrat ko dekhtā huuñ maiñ

    merī sīrat vo dekhtā nahīñ

    ishq merā hai shahr meñ mash.hūr

    aur tum ne abhī sunā nahīñ

    qissa-e-qais sun ke farmāyā

    jhuuT koī intihā nahīñ

    vāsta kis deñ 'hafīz' un ko

    un butoñ koī ḳhudā nahīñ

    dosti ka chalan raha hi nahin

    ab zamane ki wo hawa hi nahin

    sach to ye hai sanam-kade walo

    dil KHuda ne tumhein diya hi nahin

    palaT aane se ho gaya sabit

    nama-bar tu wahan gaya hi nahin

    haal ye hai ki hum gharibon ka

    haal tum ne kabhi suna hi nahin

    kya chale zor dasht-e-wahshat ka

    hum ne daman kabhi siya hi nahin

    ghair bhi ek din marenge zarur

    un ke hisse mein kya qaza hi nahin

    us ki surat ko dekhta hun main

    meri sirat wo dekhta hi nahin

    ishq mera hai shahr mein mashhur

    aur tum ne abhi suna hi nahin

    qissa-e-qais sun ke farmaya

    jhuT ki koi intiha hi nahin

    wasta kis ka den 'hafiz' un ko

    un buton ka koi KHuda hi nahin

    Source:

    Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 210)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now