Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek hi bar nahin hai wo dubara kam hai

Zafar Iqbal

ek hi bar nahin hai wo dubara kam hai

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    ek baar nahīñ hai vo dubāra kam hai

    maiñ vo dariyā huuñ jise apnā kināra kam hai

    vahī takrār hai aur ek vahī yaksānī

    is shab-o-roz meñ ab apnā guzāra kam hai

    mere din raat meñ karnā nahīñ ab is ko shumār

    hissa-e-umr koī maiñ ne guzārā kam hai

    maiñ ziyāda huuñ bahut us ke liye ab tak bhī

    aur mere liye vo saare saarā kam hai

    us apnī bhī tavajjoh nahīñ mujh par koī ḳhaas

    aur maiñ ne bhī abhī us ko pukārā kam hai

    aaj paanī jo uchhaltā nahīñ pahle tarah

    aisā lagtā hai ki is meñ koī dhārā kam hai

    haath pair aap maiñ maar rahā huuñ filhāl

    Dūbte ko abhī tinke sahārā kam hai

    maiñ to rakhtā huuñ bahut roz ke roz in hisāb

    āsmāñ par koī aaj ek sitāra kam hai

    pesh-raft aur abhī mumkin bhī nahīñ hai ki 'zafar'

    abhī us shoḳh pe kuchh zor hamārā kam hai

    ek hi bar nahin hai wo dubara kam hai

    main wo dariya hun jise apna kinara kam hai

    wahi takrar hai aur ek wahi yaksani

    is shab-o-roz mein ab apna guzara kam hai

    mere din raat mein karna nahin ab is ko shumar

    hissa-e-umr koi main ne guzara kam hai

    main ziyaada hun bahut us ke liye ab tak bhi

    aur mere liye wo sare ka sara kam hai

    us ki apni bhi tawajjoh nahin mujh par koi KHas

    aur main ne bhi abhi us ko pukara kam hai

    aaj pani jo uchhalta nahin pahle ki tarah

    aisa lagta hai ki is mein koi dhaara kam hai

    hath pair aap hi main mar raha hun filhaal

    Dubte ko abhi tinke ka sahaara kam hai

    main to rakhta hun bahut roz ke roz in ka hisab

    aasman par koi aaj ek sitara kam hai

    pesh-raft aur abhi mumkin bhi nahin hai ki 'zafar'

    abhi us shoKH pe kuchh zor hamara kam hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now