Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue

Baqar Mehdi

fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    fareb khā ke bhī sharminda-e-sukūñ na hue

    na kam huā kisī manzil pe valvala dil

    ye soch kar tirī mahfil se ham chale aa.e

    ki ek baar to baḌh jaa.e hausla dil

    palaT ke ab na kabhī lucknow se guzregā

    nikal gayā hai bahut duur qāfila dil

    harīf-e-ishq koī ho harīf-e-ġham to nahīñ

    kisī se ho na sakegā muqābla dil

    koī kisī nahīñ ham-zabāñ zamāne meñ

    kareñ to kis se kareñ ke ab gila dil

    shikast khāne yaarā nahīñ pa kyā kiije

    ik ajnabī se paḌā hai muqābla dil

    tumhārī nazr bhī laa.e jo ham to kyā laa.e

    zarā sambhāl ke rakhnā ye aabla dil

    fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue

    na kam hua kisi manzil pe walwala dil ka

    ye soch kar teri mahfil se hum chale aae

    ki ek bar to baDh jae hausla dil ka

    palaT ke ab na kabhi lucknow se guzrega

    nikal gaya hai bahut dur qafila dil ka

    harif-e-ishq koi ho harif-e-gham to nahin

    kisi se ho na sakega muqabla dil ka

    koi kisi ka nahin ham-zaban zamane mein

    karen to kis se karen ja ke ab gila dil ka

    shikast khane ka yara nahin pa kya kije

    ek ajnabi se paDa hai muqabla dil ka

    tumhaari nazr bhi lae jo hum to kya lae

    zara sambhaal ke rakhna ye aabla dil ka

    Source:

    shahr-e-aarzu(rekhta website) (Pg. 54)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now