Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai wasf tera muhit-e-azam

Ismail Merathi

hai wasf tera muhit-e-azam

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    hai vasf tirā muhīt-e-āzam

    yaañ taab kise shanāvarī

    zindagī aur us sāmāñ

    kyā shaan hai banda-parvarī

    shāhansha-e-vaqt hai vo jis ne

    tere dar gadāgarī

    bad-tar huuñ vale karam se tere

    ummīd-e-qavī hai behtarī

    kyā aañkh ko til diyā ki jis meñ

    vus.at hai charḳh-e-chambarī

    dekhā to vahī hai rāh-o-rahrav

    phir us ne hai aap rahbarī

    har shakl meñ thā vahī numūdār

    ham ne nigāh sarsarī

    kyā baat hai gar kiyā tarahhum

    haihāt jo ne dāvarī

    ba.ad-e-ḳhizāñ bahār paidā

    sūkhī Tahnī harī-bharī

    jhuuT aur mubālaġha ne afsos

    izzat kho suḳhanvarī

    likkhī thī ġhazal ye āgara meñ

    pahlī tārīḳh january

    hai wasf tera muhit-e-azam

    yan tab kise shanawari ki

    di zindagi aur us ka saman

    kya shan hai banda-parwari ki

    shahansha-e-waqt hai wo jis ne

    tere dar ki gadagari ki

    bad-tar hun wale karam se tere

    ummid-e-qawi hai behtari ki

    kya aankh ko til diya ki jis mein

    wusat hai charKH-e-chambari ki

    dekha to wahi hai rah-o-rahraw

    phir us ne hai aap rahbari ki

    har shakl mein tha wahi numudar

    hum ne hi nigah sarsari ki

    kya baat hai gar kiya tarahhum

    haihat jo tu ne dawari ki

    ki baad-e-KHizan bahaar paida

    sukhi Tahni hari-bhari ki

    jhuT aur mubaalagha ne afsos

    izzat kho di suKHanwari ki

    likkhi thi ghazal ye aagara mein

    pahli tariKH january ki

    Source:

    Kulliyat-w-Hayat-e-Ismail Ba-Tasveer (Pg. ebook-500 page-312)

    • Author: Mohammad Aslam Saifi
      • Edition: 1939
      • Publisher: Dayal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now