aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe

Majrooh Sultanpuri

hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe

Majrooh Sultanpuri

MORE BYMajrooh Sultanpuri

    hameñ shu.ūr-e-junūñ hai ki jis chaman meñ rahe

    nigāh ban ke hasīnoñ anjuman meñ rahe

    ai bahār-e-gurezāñ kisī chaman meñ rahe

    mire junūñ mahak tere pairahan meñ rahe

    mujhe nahīñ kisī uslūb-e-shā.irī talāsh

    tirī nigāh jaadū mire suḳhan meñ rahe

    na ham qafas meñ ruke misl-e-bū-e-gul sayyād

    na ham misāl-e-sabā halqa-e-rasan meñ rahe

    khule jo ham to kisī shoḳh nazar meñ khule

    hue girah to kisī zulf shikan meñ rahe

    sarishk rañg na baḳhshe to kyuuñ ho bār-e-mizha

    lahū hinā nahīñ bantā to kyuuñ badan meñ rahe

    hujūm-e-dahr meñ badlī na ham se vaz-e-ḳhirām

    girī kulāh ham apne bāñkpan meñ rahe

    ye hukm hai rahe muTThī meñ band sail-e-nasīm

    ye zid hai bahr-e-tapāñ kūza-e-kuhan meñ rahe

    zabāñ hamārī na samjhā yahāñ koī 'majrūh'

    ham ajnabī tarah apne vatan meñ rahe

    hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe

    nigah ban ke hasinon ki anjuman mein rahe

    tu ai bahaar-e-gurezan kisi chaman mein rahe

    mere junun ki mahak tere pairahan mein rahe

    mujhe nahin kisi uslub-e-shairi ki talash

    teri nigah ka jadu mere suKHan mein rahe

    na hum qafas mein ruke misl-e-bu-e-gul sayyaad

    na hum misal-e-saba halqa-e-rasan mein rahe

    khule jo hum to kisi shoKH ki nazar mein khule

    hue girah to kisi zulf ki shikan mein rahe

    sarishk rang na baKHshe to kyun ho bar-e-mizha

    lahu hina nahin banta to kyun badan mein rahe

    hujum-e-dahr mein badli na hum se waz-e-KHiram

    giri kulah hum apne hi bankpan mein rahe

    ye hukm hai rahe muTThi mein band sail-e-nasim

    ye zid hai bahr-e-tapan kuza-e-kuhan mein rahe

    zaban hamari na samjha yahan koi 'majruh'

    hum ajnabi ki tarah apne hi watan mein rahe

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri,

    Shakeel Jamali

    Shakeel Jamali,

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri,

    Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri,

    Nomaan Shauque

    hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe Nomaan Shauque

    Majrooh Sultanpuri

    hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe Majrooh Sultanpuri

    Shakeel Jamali

    hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe Shakeel Jamali

    Majrooh Sultanpuri

    hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe Majrooh Sultanpuri

    Majrooh Sultanpuri

    hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe Majrooh Sultanpuri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now