aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har lamha nam-dida rahne ki aadat

Manish Shukla

har lamha nam-dida rahne ki aadat

Manish Shukla

MORE BYManish Shukla

    har lamha nam-dīda rahne aadat

    le Duubī ranjīda rahne aadat

    ab apnā chehra begāna lagtā hai

    ham ko thī sanjīda rahne aadat

    āḳhir ham ko be-zārī tak le aa.ī

    har shai par girvīda rahne aadat

    rafta rafta uryānī tak aa pahuñche

    jin ko thī poshīda rahne aadat

    dikh jaate haiñ yuuñ kuchh rañgīñ manzar

    achchhī hai ḳhvābīda rahne aadat

    ham haamī haiñ sīdhī-sādī bātoñ ke

    aur us ko pechīda rahne aadat

    āḳhir-kār varaq ke chithḌe kar degī

    har mausam bosīda rahne aadat

    har lamha nam-dida rahne ki aadat

    le Dubi ranjida rahne ki aadat

    ab apna chehra begana lagta hai

    hum ko thi sanjida rahne ki aadat

    aaKHir hum ko be-zari tak le aai

    har shai par girwida rahne ki aadat

    rafta rafta uryani tak aa pahunche

    jin ko thi poshida rahne ki aadat

    dikh jate hain yun hi kuchh rangin manzar

    achchhi hai KHwabida rahne ki aadat

    hum hami hain sidhi-sadi baaton ke

    aur us ko pechida rahne ki aadat

    aaKHir-kar waraq ke chithDe kar degi

    har mausam bosida rahne ki aadat

    Source:

    Khwab Patthar Ho Gaye (Pg. 14)

    • Author: Manish Shukla
      • Edition: 2012
      • Publisher: Skylark House of Publications, 52 Shiv Vihar, Sector-1, Jankipuram, Lucknow-21
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now