Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazaron manzilen phir bhi meri manzil hai tu hi tu

Ameeta Parsuram Meeta

hazaron manzilen phir bhi meri manzil hai tu hi tu

Ameeta Parsuram Meeta

MORE BYAmeeta Parsuram Meeta

    hazāroñ manzileñ phir bhī mirī manzil hai

    mohabbat ke safar āḳhirī hāsil hai

    balā se kitne tūfāñ uThe bahr-e-mohabbat meñ

    har ik dhaḌkan ye kahtī hai mirā sāhil hai

    mujhe ma.alūm hai anjām kyā hogā mohabbat

    masīhā hai aur mirā qātil hai

    kiyā ifshā mohabbat ko mirī bebāk nazroñ ne

    zamāne ko ḳhabar hai mujh se bas ġhāfil hai

    tire baḳhshe hue rañgoñ se hai pur-nūr har manzar

    yaqīnan bahr o bar ruuh meñ shāmil hai

    tujhī se guftugū har dam tirī justujū har dam

    mirī āsāniyāñ tujh se mirī mushkil hai

    jidhar jā.ūñ jidhar dekhūñ tire qisse tirī bāteñ

    sar-e-mahfil hai pas-e-mahmil hai

    hazaron manzilen phir bhi meri manzil hai tu hi tu

    mohabbat ke safar ka aaKHiri hasil hai tu hi tu

    bala se kitne hi tufan uThe bahr-e-mohabbat mein

    har ek dhaDkan ye kahti hai mera sahil hai tu hi tu

    mujhe malum hai anjam kya hoga mohabbat ka

    masiha tu hi tu hai aur mera qatil hai tu hi tu

    kiya ifsha mohabbat ko meri bebak nazron ne

    zamane ko KHabar hai mujh se bas ghafil hai tu hi tu

    tere baKHshe hue rangon se hai pur-nur har manzar

    yaqinan bahr o bar ki ruh mein shamil hai tu hi tu

    tujhi se guftugu har dam teri hi justuju har dam

    meri aasaniyan tujh se meri mushkil hai tu hi tu

    jidhar jaun jidhar dekhun tere qisse teri baaten

    sar-e-mahfil hai tu hi tu pas-e-mahmil hai tu hi tu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now