aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aur siyah raat hai is raat se aage

Javed Shaheen

ek aur siyah raat hai is raat se aage

Javed Shaheen

MORE BYJaved Shaheen

    ik aur siyah raat hai is raat se aage

    ab baat nikal jaane ko hai baat se aage

    koshish to bahut kartā huuñ khultā nahīñ vo

    baiThā hai kahīñ shak mulāqāt se aage

    dene ko bahut kuchh hai magar vaqt-e-saḳhāvat

    hotā nahīñ koī mirī zaat se aage

    thī kaisī talab jis ko pakaḌne ke junūñ meñ

    dil chaltā rahā chaar qadam haat se aage

    haañ rāhat-e-dil jān-e-nazar hoñge manāzir

    dekhā nahīñ kuchh basar-auqāt se aage

    thoḌā kahīñ jam.a bhī rakh dard paanī

    mausam hai koī ḳhushk barsāt se aage

    yuuñ tark-e-ta.alluq na karo is se bhī 'shāhīñ'

    kuchh achchhe marāsim nahīñ hālāt se aage

    ek aur siyah raat hai is raat se aage

    ab baat nikal jaane ko hai baat se aage

    koshish to bahut karta hun khulta hi nahin wo

    baiTha hai kahin shak sa mulaqat se aage

    dene ko bahut kuchh hai magar waqt-e-saKHawat

    hota hi nahin koi meri zat se aage

    thi kaisi talab jis ko pakaDne ke junun mein

    dil chalta raha chaar qadam hat se aage

    han rahat-e-dil jaan-e-nazar honge manazir

    dekha hi nahin kuchh basar-auqat se aage

    thoDa sa kahin jama bhi rakh dard ka pani

    mausam hai koi KHushk sa barsat se aage

    yun tark-e-talluq na karo is se bhi 'shahin'

    kuchh achchhe marasim nahin haalat se aage

    Source:

    Ishq e Tamam (Pg. 217)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now