aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek KHalq jo har samt se aai tere dar par

Sharaf Mujaddidi

ek KHalq jo har samt se aai tere dar par

Sharaf Mujaddidi

MORE BYSharaf Mujaddidi

    ik ḳhalq jo har samt se aa.ī tire dar par

    aayā nazar-andāz ḳhudā.ī tire dar par

    thī jis tamannā dil-e-mushtāq ko har dam

    vo chiiz agar paa.ī to paa.ī tire dar par

    ushshāq ke aage na laḌā ġhairoñ se āñkheñ

    Dar hai ki na ho jaa.e laḌā.ī tire dar par

    dekhī jo yahāñ aa ke jhaḌī abr-e-karam

    sab dil lagī ham ne bujhā.ī tire dar par

    is nafas kam-baḳht ne rokā thā 'sharaf' ko

    dushvār na thī varna rasā.ī tire dar par

    ek KHalq jo har samt se aai tere dar par

    aaya nazar-andaz KHudai tere dar par

    thi jis ki tamanna dil-e-mushtaq ko har dam

    wo chiz agar pai to pai tere dar par

    ushshaq ke aage na laDa ghairon se aankhen

    Dar hai ki na ho jae laDai tere dar par

    dekhi jo yahan aa ke jhaDi abr-e-karam ki

    sab dil ki lagi hum ne bujhai tere dar par

    is nafas hi kam-baKHt ne roka tha 'sharaf' ko

    dushwar na thi warna rasai tere dar par

    Source:

    Deewan-e-Sharf Mujaddidi (Pg. 5)

    • Author: Abdul Qadir Mujaddidi
      • Edition: 1937
      • Publisher: Raees-ul-Matabe, Kanpur
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now