Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ke kuche mein masiha har sahar jata raha

Haidar Ali Aatish

is ke kuche mein masiha har sahar jata raha

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    is ke kūche meñ masīhā har sahar jaatā rahā

    be-ajal vaañ ek do har raat mar jaatā rahā

    kū-e-jānāñ meñ bhī ab is pata miltā nahīñ

    dil mirā ghabrā ke kyā jaane kidhar jaatā rahā

    jānib-e-kohsār niklā jo maiñ to kohkan

    apnā tesha mere sar se maar kar jaatā rahā

    ne kashish ma.ashūq meñ paatā huuñ nai āshiq meñ jazb

    kyā balā aa.ī mohabbat asar jaatā rahā

    vāh-re andher bahr-e-raushnī-e-shahr-e-misr

    dīda-e-yāqūb se nūr-e-nazar jaatā rahā

    nashsha meñ ilāhī mai-kashoñ ko maut de

    kyā guhar qadr jab āb-e-guhar jaatā rahā

    ik na ik mūnis furqat falak ne ġham diyā

    dard-e-dil paidā huā dard-e-jigar jaatā rahā

    husn kho kar āshnā ham se huā vo naunihāl

    pahuñche tab zer-e-shajar ham jab samar jaatā rahā

    ranj-e-duniyā se farāġh izā-dahindoñ ko nahīñ

    kab tap-e-shīr utrī kis din dard-e-sar jaatā rahā

    fātiha paḌhne ko aa.e qabr-e-'ātish' par na yaar

    do din meñ pās-e-ulfat is qadar jaatā rahā

    is ke kuche mein masiha har sahar jata raha

    be-ajal wan ek do har raat mar jata raha

    ku-e-jaanan mein bhi ab is ka pata milta nahin

    dil mera ghabra ke kya jaane kidhar jata raha

    jaanib-e-kohsar ja nikla jo main to kohkan

    apna tesha mere sar se mar kar jata raha

    ne kashish mashuq mein pata hun nai aashiq mein jazb

    kya bala aai mohabbat ka asar jata raha

    wah-re andher bahr-e-raushni-e-shahr-e-misr

    dida-e-yaqub se nur-e-nazar jata raha

    nashsha hi mein ya ilahi mai-kashon ko maut de

    kya guhar ki qadr jab aab-e-guhar jata raha

    ek na ek munis ki furqat ka falak ne gham diya

    dard-e-dil paida hua dard-e-jigar jata raha

    husn kho kar aashna hum se hua wo naunihaal

    pahunche tab zer-e-shajar hum jab samar jata raha

    ranj-e-duniya se faragh iza-dahindon ko nahin

    kab tap-e-shir utri kis din dard-e-sar jata raha

    fatiha paDhne ko aae qabr-e-'atish' par na yar

    do hi din mein pas-e-ulfat is qadar jata raha

    Source:

    Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish (Pg. 48)

    • Author: Haidar Ali Aatish
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now