jaanti hun ki wo KHafa bhi nahin

Zahida Hina

jaanti hun ki wo KHafa bhi nahin

Zahida Hina

MORE BYZahida Hina

  jāntī huuñ ki vo ḳhafā bhī nahīñ

  dil kisī taur māntā bhī nahīñ

  kyā vafā o jafā baat kareñ

  darmiyāñ ab to kuchh rahā bhī nahīñ

  dard vo bhī sahā hai tere liye

  merī qismat meñ jo likhā bhī nahīñ

  har tamannā sarāb bantī rahī

  in sarāboñ intihā bhī nahīñ

  haañ charāġhāñ kaifiyat thī kabhī

  ab to palkoñ pe ik diyā bhī nahīñ

  dil ko ab tak yaqīn aa na sakā

  yuuñ nahīñ hai ki vo milā bhī nahīñ

  vaqt itnā guzar chukā hai 'hinā'

  jaane vaale se ab gila bhī nahīñ

  jaanti hun ki wo KHafa bhi nahin

  dil kisi taur manta bhi nahin

  kya wafa o jafa ki baat karen

  darmiyan ab to kuchh raha bhi nahin

  dard wo bhi saha hai tere liye

  meri qismat mein jo likha bhi nahin

  har tamanna sarab banti rahi

  in sarabon ki intiha bhi nahin

  han charaghan ki kaifiyat thi kabhi

  ab to palkon pe ek diya bhi nahin

  dil ko ab tak yaqin aa na saka

  yun nahin hai ki wo mila bhi nahin

  waqt itna guzar chuka hai 'hina'

  jaane wale se ab gila bhi nahin

  Source:

  • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 104)
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY