Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise koi daera takmil par hai

Abdul Ahad Saaz

jaise koi daera takmil par hai

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    jaise koī dā.era takmīl par hai

    in dinoñ mujh par guzishta asar hai

    zindagī band siipī khul rahī hai

    aur us meñ ahd-e-tiflī guhar hai

    dil hai rāz-o-ramz duniyā meñ shādāñ

    aql ko har aan tashvīsh-e-ḳhabar hai

    ik tavaqquf-zār meñ gum hai tasalsul

    lamha-e-maujūd goyā umr bhar hai

    zehan meñ rauzan anokhe khul rahe haiñ

    jin se an-sochī havāoñ guzar hai

    fāsle taqsīm hote nahīñ jab

    'sāz' phir kyā sust-rau kyā tez-tar hai

    jaise koi daera takmil par hai

    in dinon mujh par guzishta ka asar hai

    zindagi ki band sipi khul rahi hai

    aur us mein ahd-e-tifli ka guhar hai

    dil hai raaz-o-ramz ki duniya mein shadan

    aql ko har aan tashwish-e-KHabar hai

    ek tawaqquf-zar mein gum hai tasalsul

    lamha-e-maujud goya umr bhar hai

    zehan mein rauzan anokhe khul rahe hain

    jin se an-sochi hawaon ka guzar hai

    fasle taqsim hi hote nahin jab

    'saz' phir kya sust-rau kya tez-tar hai

    Source:

    sargoshiyan zamanon ki (Pg. 123)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now