Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhuTi baaten jhuTe log

Anjum Barabankvi

jhuTi baaten jhuTe log

Anjum Barabankvi

MORE BYAnjum Barabankvi

    jhūTī bāteñ jhūTe log

    sahte raheñge sachche log

    hariyālī par boleñge

    sāvan ke sab andhe log

    do paise meñ mahñge haiñ

    kirdāroñ ke saste log

    merī guzārish kyā sunte

    ūñche qad ke chhoTe log

    ġhair to aañsū pochheñge

    dhokā deñge apne log

    ek jagah kam milte haiñ

    itne saare achchhe log

    is jīvan meñ ghuum chuke

    aadhī duniyā puure log

    barsoñ meñ phir dekheñge

    bhole-bhāle pyāre log

    sadiyoñ pahle hote the

    apnī dhun ke pakke log

    har mahfil meñ karte haiñ

    ochhī harakat ochhe log

    jhuTi baaten jhuTe log

    sahte rahenge sachche log

    hariyali par bolenge

    sawan ke sab andhe log

    do paise mein mahnge hain

    kirdaron ke saste log

    meri guzarish kya sunte

    unche qad ke chhoTe log

    ghair to aansu pochhenge

    dhoka denge apne log

    ek jagah kam milte hain

    itne sare achchhe log

    is jiwan mein ghum chuke

    aadhi duniya pure log

    barson mein phir dekhenge

    bhole-bhaale pyare log

    sadiyon pahle hote the

    apni dhun ke pakke log

    har mahfil mein karte hain

    ochhi harakat ochhe log

    Source:

    Khamoshiyaon Ka Nagma (Pg. 28)

    • Author: Dr. Anjum Barabankvi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now