aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai

Mirza Ghalib

jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    jis nasīm shānā-kash-e-zulf-e-yār hai

    naafā dimāġh-e-āhu-e-dasht-e-tatār hai

    kis surāġh jalva hai hairat ko ai ḳhudā

    ā.īna farsh-e-shash-jahat-e-intizār hai

    hai zarra zarra tañgi-e-jā se ġhubār-e-shauq

    gar daam ye hai vus.at-e-sahrā shikār hai

    dil mudda.ī o diida banā mudda.ā-alaih

    nazzāre muqaddama phir rū-ba-kār hai

    chhiḌke hai shabnam ā.īna-e-barg-e-gul par aab

    ai andalīb vaqt-e-vadā-e-bahār hai

    pach aa paḌī hai vāda-e-dil-dār mujhe

    vo aa.e na aa.e pe yaañ intizār hai

    be-parda sū-e-vādi-e-majnūñ guzar na kar

    har zarra ke naqāb meñ dil be-qarār hai

    ai andalīb yak kaf-e-ḳhas bahr-e-āshyāñ

    tūfān-e-āmad āmad-e-fasl-e-bahār hai

    dil mat gañvā ḳhabar na sahī sair sahī

    ai be-dimāġh ā.īna timsāl-dār hai

    ġhaflat kafīl-e-umr o 'asad' zāmin-e-nashāt

    ai marg-e-nā-gahāñ tujhe kyā intizār hai

    jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai

    nafa dimagh-e-ahu-e-dasht-e-tatar hai

    kis ka suragh jalwa hai hairat ko ai KHuda

    aaina farsh-e-shash-jahat-e-intizar hai

    hai zarra zarra tangi-e-ja se ghubar-e-shauq

    gar dam ye hai wusat-e-sahra shikar hai

    dil muddai o dida bana muddaa-alaih

    nazzare ka muqaddama phir ru-ba-kar hai

    chhiDke hai shabnam aaina-e-barg-e-gul par aab

    ai andalib waqt-e-wada-e-bahaar hai

    pach aa paDi hai wada-e-dil-dar ki mujhe

    wo aae ya na aae pe yan intizar hai

    be-parda su-e-wadi-e-majnun guzar na kar

    har zarra ke naqab mein dil be-qarar hai

    ai andalib yak kaf-e-KHas bahr-e-ashyan

    tufan-e-amad aamad-e-fasl-e-bahaar hai

    dil mat ganwa KHabar na sahi sair hi sahi

    ai be-dimagh aaina timsal-dar hai

    ghaflat kafil-e-umr o 'asad' zamin-e-nashat

    ai marg-e-na-gahan tujhe kya intizar hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai Nomaan Shauque

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 348)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now