aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo baat tujhse chahi hai apna mizaj aaj

Insha Allah Khan Insha

jo baat tujhse chahi hai apna mizaj aaj

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    jo baat tujh se chāhī hai apnā mizāj aaj

    qurbān terī kal pe na Taal aaj aaj aaj

    dahkī hai aag dil meñ paḌe ishtiyāq

    tere sivā.e kis se ho is ilaaj aaj

    hai fauj fauj-e-ġhamza-o-andāz tere saath

    aqlīm-e-nāz hai tujhe taḳht-o-tāj aaj

    terā vo husn hai ki jo hotā to bhejtā

    yūsuf zamīn-e-misr se tujh ko ḳhirāj aaj

    ḳhūbān-e-rozgār muqallid tire haiñ sab

    jo chiiz kare so vo paave rivāj aaj

    āb-e-zulāl-e-vasl se andoh-e-dard-o-hijr

    nāpaid ghul ke hotā hai kyā misl-e-zāj aaj

    'inshā' se apne aur ye inkār haif hai

    laayā hai vo kabhī na kabhī ehtiyāj aaj

    jo baat tujh se chahi hai apna mizaj aaj

    qurban teri kal pe na Tal aaj aaj aaj

    dahki hai aag dil mein paDe ishtiyaq ki

    tere siwae kis se ho is ka ilaj aaj

    hai fauj fauj-e-ghamza-o-andaz tere sath

    aqlim-e-naz ka hai tujhe taKHt-o-taj aaj

    tera wo husn hai ki jo hota to bhejta

    yusuf zamin-e-misr se tujh ko KHiraj aaj

    KHuban-e-rozgar muqallid tere hain sab

    jo chiz tu kare so wo pawe riwaj aaj

    aab-e-zulal-e-wasl se andoh-e-dard-o-hijr

    napaid ghul ke hota hai kya misl-e-zaj aaj

    'insha' se apne aur ye inkar haif hai

    laya hai wo kabhi na kabhi ehtiyaj aaj

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 42)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now