aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi

Majeed Amjad

jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    jo ho sake to mire dil ab ik vo qissa bhī

    zarā sunā ki hai kuchh zikr jis meñ terā bhī

    kabhī safar safar meñ jo umr-e-rafta samt

    palaT ke dekhā to uḌtī thī gard-e-fardā bhī

    baḌe salīqe se duniyā ne mere dil ko diye

    vo ghaao jin meñ thā sachchā.iyoñ charkā bhī

    kisī ruuh se thā rabt aur apne hisse meñ thī

    vo be-kalī jo hai mauj-e-zamāñ hissa bhī

    ye āñkheñ hañstī vafā.eñ ye palkeñ jhukte ḳhulūs

    kuchh is se baḌh ke kisī ne kisī ko samjhā bhī

    ye rasm hāsil-e-duniyā hai ik ye rasm-e-sulūk

    hazār is meñ sahī nafratoñ iimā bhī

    diloñ aañch se thā barf siloñ pe kabhī

    siyāh sāñsoñ meñ luthḌā huā pasīna bhī

    mujhe Dhakī-chhupī in būjhī uljhanoñ se milā

    jachī-tulī huī ik saañs bharosā bhī

    kabhī kabhī inhī alhaḌ havāoñ meñ 'amjad'

    sunā hai duur ke ik des sandesā bhī

    jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi

    zara suna ki hai kuchh zikr jis mein tera bhi

    kabhi safar hi safar mein jo umr-e-rafta ki samt

    palaT ke dekha to uDti thi gard-e-farda bhi

    baDe saliqe se duniya ne mere dil ko diye

    wo ghao jin mein tha sachchaiyon ka charka bhi

    kisi ki ruh se tha rabt aur apne hisse mein thi

    wo be-kali jo hai mauj-e-zaman ka hissa bhi

    ye aankhen hansti wafaen ye palken jhukte KHulus

    kuchh is se baDh ke kisi ne kisi ko samjha bhi

    ye rasm hasil-e-duniya hai ek ye rasm-e-suluk

    hazar is mein sahi nafraton ka ima bhi

    dilon ki aanch se tha barf ki silon pe kabhi

    siyah sanson mein luthDa hua pasina bhi

    mujhe Dhaki-chhupi in bujhi uljhanon se mila

    jachi-tuli hui ek sans ka bharosa bhi

    kabhi kabhi inhi alhaD hawaon mein 'amjad'

    suna hai dur ke ek des ka sandesa bhi

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 409)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now