aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan talash karun ab ufuq kahani ka

Rajinder Manchanda Bani

kahan talash karun ab ufuq kahani ka

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    kahāñ talāsh karūñ ab ufuq kahānī

    nazar ke sāmne manzar hai be-karānī

    nadī ke donoñ taraf saarī kashtiyāñ gum thiiñ

    bahut tez thā ab ke nasha ravānī

    maiñ kyuuñ na Dūbte manzar ke saath Duub jā.ūñ

    ye shaam aur samundar udaas paanī

    parinde pahlī uḌānoñ ke ba.ad lauT aa.e

    lapak uThā koī ehsās rā.egānī

    maiñ Dar rahā huuñ havā meñ kahīñ bikhar jaa.e

    ye phuul phuul lamha tirī nishānī

    vo hañste khelte ik lafz kah gayā 'bānī'

    magar mire liye daftar khulā ma.ānī

    kahan talash karun ab ufuq kahani ka

    nazar ke samne manzar hai be-karani ka

    nadi ke donon taraf sari kashtiyan gum thin

    bahut hi tez tha ab ke nasha rawani ka

    main kyun na Dubte manzar ke sath Dub hi jaun

    ye sham aur samundar udas pani ka

    parinde pahli uDanon ke baad lauT aae

    lapak uTha koi ehsas raegani ka

    main Dar raha hun hawa mein kahin bikhar hi jae

    ye phul phul sa lamha teri nishani ka

    wo hanste khelte ek lafz kah gaya 'bani'

    magar mere liye daftar khula maani ka

    Source:

    Kulliyat-e-bani (Pg. 287)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now