aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal nashat-e-qurb se mausam bahaar-andaza tha

Saleem Ahmed

kal nashat-e-qurb se mausam bahaar-andaza tha

Saleem Ahmed

MORE BYSaleem Ahmed

    kal nashāt-e-qurb se mausam bahār-andāza thā

    kuchh havā bhī narm thī kuchh rañg-e-gul bhī taaza thā

    thak ke sañg-e-rāh par baiThe to uTThe nahīñ

    had se baḌh kar tez chalne yahī ḳhamyāza thā

    ā.īna donoñ ke aage rakh diyā taqdīr ne

    mere chehre par lahū thā rū-e-gul par ġhāza thā

    mujh ko mallāhoñ ke gītoñ se mohabbat hai magar

    raat sāhil par havā shor be-andāza thā

    ab to kuchh dukh bhī nahīñ hai daaġh bhī jaatā rahā

    kal isī dil meñ yahīñ ik zaḳhm thā aur taaza thā

    go yaqīnī to nahīñ the mere taḳhmīne magar

    jo tujhe pesh aayā us kuchh mujhe andāza thā

    mere aurāq-e-pareshāñ dekhne vaale kabhī

    maiñ kitāb-e-ishq thā aur dil mirā shīrāza thā

    aañkh meñ us chamak thī par havasnākī bhī thī

    rañg us ke ruḳh pe thā lekin rahīn-e-ġhāza thā

    josh-e-girya mere rone ye shor-e-bāz-gasht

    kuchh na thā ik kūcha gard-e-sabr āvāza thā

    jaane andar kyā huā maiñ shor sun kar ai 'salīm'

    us jagah pahuñchā to dekhā band vo darvāza thā

    kal nashat-e-qurb se mausam bahaar-andaza tha

    kuchh hawa bhi narm thi kuchh rang-e-gul bhi taza tha

    thak ke sang-e-rah par baiThe to uTThe hi nahin

    had se baDh kar tez chalne ka yahi KHamyaza tha

    aaina donon ke aage rakh diya taqdir ne

    mere chehre par lahu tha ru-e-gul par ghaza tha

    mujh ko mallahon ke giton se mohabbat hai magar

    raat sahil par hawa ka shor be-andaza tha

    ab to kuchh dukh bhi nahin hai dagh bhi jata raha

    kal isi dil mein yahin ek zaKHm tha aur taza tha

    go yaqini to nahin the mere taKHmine magar

    jo tujhe pesh aaya us ka kuchh mujhe andaza tha

    mere auraq-e-pareshan dekhne wale kabhi

    main kitab-e-ishq tha aur dil mera shiraaza tha

    aankh mein us ki chamak thi par hawasnaki bhi thi

    rang us ke ruKH pe tha lekin rahin-e-ghaza tha

    josh-e-girya mere rone ka ye shor-e-baz-gasht

    kuchh na tha ek kucha gard-e-sabr ka aawaza tha

    jaane andar kya hua main shor sun kar ai 'salim'

    us jagah pahuncha to dekha band wo darwaza tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now