Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar

Majeed Akhtar

karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar

Majeed Akhtar

MORE BYMajeed Akhtar

    karam ke baab meñ apnoñ se ibtidā kiyā kar

    zarā baat pe dil ko na yuuñ burā kiyā kar

    namāz-e-ishq hai TuuTe diloñ dildārī

    mire aziiz na is ko kabhī qazā kiyā kar

    ujāle ke liye hai chashm o dil ā.īna

    bapā kabhī kisī mazlūm azā kiyā kar

    ba-nām-e-maz.hab-o-millat ye ḳhuuñ bahānā kyā

    harī harī vo kareñ ḳhudā ḳhudā kiyā kar

    bajā sahī ye hayā aur ye ehtiyāt magar

    kabhī kabhī to mohabbat meñ hausla kiyā kar

    nazar meñ rakh mire iz.hār zarūrat ko

    kabhī to nuun elaan bhī ravā kiyā kar

    vo aib Dhaktā hai tere sabhī majīd-'aḳhtar'

    so bhī darguzar ahbāb ḳhatā kiyā kar

    karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar

    zara si baat pe dil ko na yun bura kiya kar

    namaz-e-ishq hai TuTe dilon ki dildari

    mere aziz na is ko kabhi qaza kiya kar

    ujale ke liye hai chashm o dil ka aaina

    bapa kabhi kisi mazlum ki aza kiya kar

    ba-nam-e-mazhab-o-millat ye KHun bahana kya

    hari hari wo karen tu KHuda KHuda kiya kar

    baja sahi ye haya aur ye ehtiyat magar

    kabhi kabhi to mohabbat mein hausla kiya kar

    nazar mein rakh mere izhaar ki zarurat ko

    kabhi to nun ka elan bhi rawa kiya kar

    wo aib Dhakta hai tere sabhi majid-'aKHtar'

    so tu bhi darguzar ahbab ki KHata kiya kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now