Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHashak se KHizan mein raha nam bagh ka

Ejaz Gul

KHashak se KHizan mein raha nam bagh ka

Ejaz Gul

MORE BYEjaz Gul

    ḳhāshāk se ḳhizāñ meñ rahā naam baaġh

    varna to har daraḳht pe qabza hai zaaġh

    hairat hai sab talāsh pe us rahe musir

    paayā gayā surāġh na jis be-surāġh

    hai irtikāz-e-zāt meñ vaqfa zarā der

    TuuTā nahīñ hai rābta lau se charāġh

    kab kis pe mehrbān ho aur kab ulaT paḌe

    kis ko yahāñ patā hai kisī ke dimāġh

    hotā hai phir vo aur kisī yaad ke supurd

    rakhtā huuñ jo sambhāl ke lamha farāġh

    mashq-e-suḳhan meñ dil bhī hamesha se hai sharīk

    lekin hai is meñ kaam ziyāda dimāġh

    KHashak se KHizan mein raha nam bagh ka

    warna to har daraKHt pe qabza hai zagh ka

    hairat hai sab talash pe us ki rahe musir

    paya gaya suragh na jis be-suragh ka

    hai irtikaz-e-zat mein waqfa zara si der

    TuTa nahin hai rabta lau se charagh ka

    kab kis pe mehrban ho aur kab ulaT paDe

    kis ko yahan pata hai kisi ke dimagh ka

    hota hai phir wo aur kisi yaad ke supurd

    rakhta hun jo sambhaal ke lamha faragh ka

    mashq-e-suKHan mein dil bhi hamesha se hai sharik

    lekin hai is mein kaam ziyaada dimagh ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now