Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda se waqt-e-dua hum sawal kar baiThe

Tilok Chand Mahroom

KHuda se waqt-e-dua hum sawal kar baiThe

Tilok Chand Mahroom

MORE BYTilok Chand Mahroom

    ḳhudā se vaqt-e-duā ham savāl kar baiThe

    vo but bhī dil ko zarā ab sambhāl kar baiThe

    kiyā hai aañkh gardish se piis kar surma

    vo be-chale mujhe pā.emāl kar baiThe

    tamām umr pareshāñ rakhā dam-e-āḳhir

    balā se merī pareshāñ vo baal kar baiThe

    chale haiñ tuur ko muusā magar hameñ matlab

    ki ham butoñ meñ ye dekh-bhāl kar baiThe

    ravāñ haiñ ashk kisī ke firāq meñ rab

    koī na pursish-e-vaj.h-e-malāl kar baiThe

    burā ho ulfat-e-ḳhūbāñ ham-nashīñ ham to

    shabāb meñ burā apnā haal kar baiThe

    na ilm hai na zabāñ hai to kis liye 'mahrūm'

    tum apne aap ko shā.ir ḳhayāl kar baiThe

    KHuda se waqt-e-dua hum sawal kar baiThe

    wo but bhi dil ko zara ab sambhaal kar baiThe

    kiya hai aankh ki gardish se pis kar surma

    wo be-chale hi mujhe paemal kar baiThe

    tamam umr pareshan rakha dam-e-aKHir

    bala se meri pareshan wo baal kar baiThe

    chale hain tur ko musa magar hamein matlab

    ki hum buton hi mein ye dekh-bhaal kar baiThe

    rawan hain ashk kisi ke firaq mein ya rab

    koi na pursish-e-wajh-e-malal kar baiThe

    bura ho ulfat-e-KHuban ka ham-nashin hum to

    shabab hi mein bura apna haal kar baiThe

    na ilm hai na zaban hai to kis liye 'mahrum'

    tum apne aap ko shair KHayal kar baiThe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHuda se waqt-e-dua hum sawal kar baiThe Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now