Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushbu hai kabhi gul hai kabhi shama kabhi hai

Waheed Akhtar

KHushbu hai kabhi gul hai kabhi shama kabhi hai

Waheed Akhtar

MORE BYWaheed Akhtar

    ḳhushbū hai kabhī gul hai kabhī sham.a kabhī hai

    vo ātish-e-sayyāl jo siine meñ bharī hai

    bāda-talbī shauq daryūza-garī hai

    sad-shukr ki taqdīr yaañ tishna-labī hai

    ġhunchoñ ke chaTakne samāñ dil meñ abhī hai

    milne meñ jo uTh uTh ke nazar un jhukī hai

    ab zabt se kah de ki ye ruḳhsat ghaḌī hai

    ai vahshat-e-ġham der se kyā soch rahī hai

    māsūm hai yaad un bhaTak jaa.e na rasta

    ḳhūñ-gashta tamannāoñ kyuuñ bhiiḌ lagī hai

    yādoñ se kaho solā-siñgār aaj karā.eñ

    ā.īnā-ba-kaf hasrat-e-dīdār khaḌī hai

    lab liye andesha-e-dushnām-e-jahāñ se

    ab apnī ḳhamoshī ik afsāna banī hai

    Thahrī hai to ik chehre pe Thahrī rahī barsoñ

    bhaTkī hai to phir aañkh bhaTaktī rahī hai

    KHushbu hai kabhi gul hai kabhi shama kabhi hai

    wo aatish-e-sayyal jo sine mein bhari hai

    baada-talbi shauq ki daryuza-gari hai

    sad-shukr ki taqdir hi yan tishna-labi hai

    ghunchon ke chaTakne ka saman dil mein abhi hai

    milne mein jo uTh uTh ke nazar un ki jhuki hai

    ab zabt se kah de ki ye ruKHsat ki ghaDi hai

    ai wahshat-e-gham der se kya soch rahi hai

    masum hai yaad un ki bhaTak jae na rasta

    KHun-gashta tamannaon ki kyun bhiD lagi hai

    yaadon se kaho sola-singar aaj karaen

    aaina-ba-kaf hasrat-e-didar khaDi hai

    lab si liye andesha-e-dushnam-e-jahan se

    ab apni KHamoshi hi ek afsana bani hai

    Thahri hai to ek chehre pe Thahri rahi barson

    bhaTki hai to phir aankh bhaTakti hi rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now