aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ja na be-qarari se main KHasta-tan gaya

Jurat Qalandar Bakhsh

kis ja na be-qarari se main KHasta-tan gaya

Jurat Qalandar Bakhsh

MORE BYJurat Qalandar Bakhsh

    kis na be-qarārī se maiñ ḳhasta-tan gayā

    par dekhne us ke kahīñ Dhab na ban gayā

    kis kis tarah ḳhafagī dil ne mujh se aah

    rūThā kisī yaar kisī se jo man gayā

    yaaro jahāñ meñ ab kahīñ dekhī vafā chaal

    jaane do ye na zikr karo vo chalan gayā

    sausan zabāñ nikāle jo niklī to zer-e-ḳhāk

    kyā jāniye ki kaun ye tishna-dahan gayā

    ai ishq sach to ye hai ki shīrīñ ne kuchh na

    hasrat koh dil pe liye kohkan gayā

    bas nāsehā ye tīr-e-malāmat kahāñ talak

    bātoñ se terī aah kalejā to chhan gayā

    kal us sanam ke kūche se niklā jo shaiḳh-e-vaqt

    kahte the sab idhar se ajab barhaman gayā

    paidā ye hijr-e-yār meñ vahshat huī ki aah

    is dil vasl meñ bhī na dīvāna-pan gayā

    hairāñ hai tujh ko dekh ke 'jur.at' mirī to aql

    do chaar din meñ kyā ye tirā haal ban gayā

    kis ja na be-qarari se main KHasta-tan gaya

    par dekhne ka us ke kahin Dhab na ban gaya

    kis kis tarah ki ki KHafagi dil ne mujh se aah

    ruTha kisi ka yar kisi se jo man gaya

    yaro jahan mein ab kahin dekhi wafa ki chaal

    jaane do ye na zikr karo wo chalan gaya

    sausan zaban nikale jo nikli to zer-e-KHak

    kya jaaniye ki kaun ye tishna-dahan gaya

    ai ishq sach to ye hai ki shirin ne kuchh na ki

    hasrat ka koh dil pe liye kohkan gaya

    bas naseha ye tir-e-malamat kahan talak

    baaton se teri aah kaleja to chhan gaya

    kal us sanam ke kuche se nikla jo shaiKH-e-waqt

    kahte the sab idhar se ajab barhaman gaya

    paida ye hijr-e-yar mein wahshat hui ki aah

    is dil ka wasl mein bhi na diwana-pan gaya

    hairan hai tujh ko dekh ke 'jurat' meri to aql

    do chaar din mein kya ye tera haal ban gaya

    Source:

    Kulliyat-e-Jura t áVolume-01 â (Pg. page-29-E-book-69)

    • Author: Jurat Qalandar Bakhsh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now