Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi kashish ke kisi silsile ka hona tha

Yasmeen Habeeb

kisi kashish ke kisi silsile ka hona tha

Yasmeen Habeeb

MORE BYYasmeen Habeeb

    kisī kashish ke kisī silsile honā thā

    hameñ bhī āḳhirash ik dā.ere honā thā

    abhī se achchhā huā raat so ga.ī varna

    kabhī to ḳhatm-e-safar ratjage honā thā

    barahna-tan baḌī guzrī thī zindagī apnī

    libās ham ko ik dūsre honā thā

    ham apnā dīda-e-bīnā pahan ke nikle the

    saḌak ke biich kisī hādse honā thā

    hamāre paañv se lipTī huī qayāmat thī

    qadam qadam pe kisī zalzale honā thā

    ham apne sāmne har lamha marte rahte the

    hamāre dil meñ kisī maqbare honā thā

    tamām raat bulātā rahā hai ik taara

    ufuq ke paar kisī mo'jize honā thā

    kisī ke sāmne uTThī nazar to bah niklā

    hamārī aañkh meñ kyā aable honā thā

    hisār-e-shahr se bāhar nikal aa.e haiñ

    kabhī hameñ bhī kisī rāste honā thā

    kisi kashish ke kisi silsile ka hona tha

    hamein bhi aaKHirash ek daere ka hona tha

    abhi se achchha hua raat so gai warna

    kabhi to KHatm-e-safar ratjage ka hona tha

    barahna-tan baDi guzri thi zindagi apni

    libas hum ko hi ek dusre ka hona tha

    hum apna dida-e-bina pahan ke nikle the

    saDak ke bich kisi hadse ka hona tha

    hamare panw se lipTi hui qayamat thi

    qadam qadam pe kisi zalzale ka hona tha

    hum apne samne har lamha marte rahte the

    hamare dil mein kisi maqbare ka hona tha

    tamam raat bulata raha hai ek tara

    ufuq ke par kisi mo'jize ka hona tha

    kisi ke samne uTThi nazar to bah nikla

    hamari aankh mein kya aable ka hona tha

    hisar-e-shahr se bahar nikal hi aae hain

    kabhi hamein bhi kisi raste ka hona tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now