Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitna jaan-soz hai manzar meri tanhai ka

Rafique Khayal

kitna jaan-soz hai manzar meri tanhai ka

Rafique Khayal

MORE BYRafique Khayal

    kitnā jāñ-soz hai manzar mirī tanhā.ī

    hausla mujh meñ nahīñ anjuman-ārā.ī

    maiñ ne samjhā thā jise bā.is-e-taskīn-e-nazar

    us ne sāmān kiyā hai mirī rusvā.ī

    merī bātoñ meñ nayā rañg kahāñ se aa.e

    mere dil meñ bhī hai ik zaḳhm shanāsā.ī

    baat to jab hai ki jazboñ se sadāqat phūTe

    yuuñ to da.avā hai har ik shaḳhs ko sachchā.ī

    ruuh meñ jazba-e-ulfat ko fuzūñ paatā huuñ

    jab ḳhayāl aatā hai mujh ko tirī ra.anā.ī

    ai 'ḳhayāl' ātish-e-ehsās bhaḌak jā.egī

    aap da.avā na kareñ dhuup meñ dānā.ī

    kitna jaan-soz hai manzar meri tanhai ka

    hausla mujh mein nahin anjuman-arai ka

    main ne samjha tha jise bais-e-taskin-e-nazar

    us ne saman kiya hai meri ruswai ka

    meri baaton mein naya rang kahan se aae

    mere dil mein bhi hai ek zaKHm shanasai ka

    baat to jab hai ki jazbon se sadaqat phuTe

    yun to dawa hai har ek shaKHs ko sachchai ka

    ruh mein jazba-e-ulfat ko fuzun pata hun

    jab KHayal aata hai mujh ko teri ranai ka

    ai 'KHayal' aatish-e-ehsas bhaDak jaegi

    aap dawa na karen dhup mein danai ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now