Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein

Zeb Ghauri

koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    koī bhī dar na milā nārasī ke marqad meñ

    maiñ ghuT ke mar gayā apnī sadā ke gumbad meñ

    ġhubār-e-fikr chhaTā jab to dekhtā kyā huuñ

    abhī khaḌā huuñ maiñ harf-o-navā sarhad meñ

    mire harīfoñ pe be-vaj.h ḳhauf ġhālib hai

    hai kaun mere sivā mere vaar zad meñ

    koī ḳhabar na thī marg-e-justujū mujhe

    zamīñ phalāñg gayā apne shauq-e-behad meñ

    ajab thā maiñ bhī ki ḳhud apnī sanā 'zeb'

    phir ek hajv kahī is qasīde radd meñ

    koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein

    main ghuT ke mar gaya apni sada ke gumbad mein

    ghubar-e-fikr chhaTa jab to dekhta kya hun

    abhi khaDa hun main harf-o-nawa ki sarhad mein

    mere harifon pe be-wajh KHauf ghaalib hai

    hai kaun mere siwa mere war ki zad mein

    koi KHabar hi na thi marg-e-justuju ki mujhe

    zamin phalang gaya apne shauq-e-behad mein

    ajab tha main bhi ki KHud apni hi sana ki 'zeb'

    phir ek hajw kahi is qaside ki radd mein

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque

    koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein Nomaan Shauque

    Source:

    Zard Zarkhez (Pg. 30)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now