aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh mauj-e-hawa pechan ai mir nazar aai

Meer Taqi Meer

kuchh mauj-e-hawa pechan ai mir nazar aai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kuchh mauj-e-havā pechāñ ai 'mīr' nazar aa.ī

    shāyad ki bahār aa.ī zanjīr nazar aa.ī

    dillī ke na the kūche aurāq-e-musavvar the

    jo shakl nazar aa.ī tasvīr nazar aa.ī

    maġhrūr bahut the ham aañsū sarāyat par

    so sub.h ke hone ko tāsīr nazar aa.ī

    gul-bār kare haigā asbāb-e-safar shāyad

    ġhunche tarah bulbul dil-gīr nazar aa.ī

    us to dil-āzārī be-hech thī yaaro

    kuchh tum ko hamārī bhī taqsīr nazar aa.ī

    kuchh mauj-e-hawa pechan ai 'mir' nazar aai

    shayad ki bahaar aai zanjir nazar aai

    dilli ke na the kuche auraq-e-musawwar the

    jo shakl nazar aai taswir nazar aai

    maghrur bahut the hum aansu ki sarayat par

    so subh ke hone ko tasir nazar aai

    gul-bar kare haiga asbab-e-safar shayad

    ghunche ki tarah bulbul dil-gir nazar aai

    us ki to dil-azari be-hech hi thi yaro

    kuchh tum ko hamari bhi taqsir nazar aai

    RECITATIONS

    Ahmad Mahfuz

    Ahmad Mahfuz,

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi,

    Ahmad Mahfuz

    kuchh mauj-e-hawa pechan ai mir nazar aai Ahmad Mahfuz

    Shamsur Rahman Faruqi

    kuchh mauj-e-hawa pechan ai mir nazar aai Shamsur Rahman Faruqi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now