Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

log to ek manzar hain taKHt-nashinon ki KHatir

Humaira Rahman

log to ek manzar hain taKHt-nashinon ki KHatir

Humaira Rahman

MORE BYHumaira Rahman

    log to ik manzar haiñ taḳht-nashīnoñ ḳhātir

    farsh bichhāyā jaatā hai qālīnoñ ḳhātir

    kitnī be-tartībī phailī kyā kuchh TuuT gayā

    saje-sajā.e ghar the unhī makīnoñ ḳhātir

    Thahar ga.e haiñ ain safar meñ bin soche-samjhe

    ham-safarī ke kuchh be-nām qarīnoñ ḳhātir

    jal bujhte haiñ log kisī ko faiz pahuñchne par

    gir jaate haiñ kuchh be-ma.anī zīnoñ ḳhātir

    ham aur tum jo badal ga.e to itnī hairat kyā

    aks badalte rahte haiñ ā.īnoñ ḳhātir

    ūñche daam lage haiñ humairā kore jazboñ ke

    saudā burā nahīñ hai chand mashīnoñ ḳhātir

    log to ek manzar hain taKHt-nashinon ki KHatir

    farsh bichhaya jata hai qalinon ki KHatir

    kitni be-tartibi phaili kya kuchh TuT gaya

    saje-sajae ghar the unhi makinon ki KHatir

    Thahar gae hain ain safar mein bin soche-samjhe

    ham-safari ke kuchh be-nam qarinon ki KHatir

    jal bujhte hain log kisi ko faiz pahunchne par

    gir jate hain kuchh be-mani zinon ki KHatir

    hum aur tum jo badal gae to itni hairat kya

    aks badalte rahte hain aainon ki KHatir

    unche dam lage hain humaira kore jazbon ke

    sauda bura nahin hai chand mashinon ki KHatir

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 441)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now